jai jai Shri harivanshchandra uddit sada |
dwij-kul-kumud prakash, vipul sukh sampada ||
par upkar vichar, sumati jag vistari |
karuna sindhu kripalu, kal bhay sab hari ||
hari sab kali kal ki bhay kripa rup ju vapu dharyo |
karat je anashan nindak tinhun pai anugrah karyau ||
nirbhiman nirwair nirupam nishkalank ju sarvda |
jai jai Shri Harivansh Chandra uddit sada ||
जय जय श्रीहरिवंशचन्द्र उद्दित सदा।
द्विज-कुल-कुमुद प्रकाश, विपुल सुख सम्पदा॥
पर उपकार विचार, सुमति जग विस्तरी।
करुणा सिन्धु कृपालु, काल भय सब हरी॥
हरी सब कलि काल की भय कृपा रूप जु वपु धर्यो।
करत जे अनसहन निन्दक तिनहुँ पै अनुग्रह करयौ॥
निरभिमान निर्वैर निरुपम निष्कलंक जु सर्वदा।
जय जय श्रीहरिवंश चन्द्र उद्दित सदा॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
'sada-sarvda udit rahne bale Shri haribanshchandra ki jai ho, jai 'ho. Jo [prem rupi] anant sampatti se purn evam dwij samuh rup kumudni ke prakashak (viksit karne wale) hain; jinhone paropkar ke vichar se hi apni bhakti rupi sundar mati (sadbuddhi) ka jagat mein vistar kiya aur jisse un kripalu karuna sindhu [ Shri harimbansh] ne kal- 'chyaal ke samasth bhay ka haran kar liya. Jinhone kalikaal ke samasth bhay ka haran kar liya unhin ne kripa rup divya vapu ko dharan kiya hai. Jo log aapko ashniya ninda karne wale the, aapne un par bhi apna anugrah kiya. Jo abhiman se rahit, chair bhan se rahit, anupmey evam kalank se rahit hain, un sarvda uday rahne chale Chandra reehribansh ki jai ho, jai ho. Tishpani- (1) “dwij kul kumud prakas'- jinka do bar janm hota hai wahi hij kahe jaate hain, waise to phir sabhi shudra hain- janmna jayte shadrah sanskaro dwij uchyate. Arthat “yon to sabhi manushya janm ke vichar se shudra hi hain, ve to sanskaro ke ho jane se 'dwij' kahe jaate hain. '” avchar se adhik upyukta janchta hai. “kau' pau se is pankti ka arth hoga- “unko bhi anugrihan (sweekar) kiya jo anashan ninda karne wale the. ' is arth mein visheshta yah hai ki nindako par daya karne ki apeksha unhen sweekar karke apna lena adhik mahatva prad hai. -n_--_-------22-2---, yahan “dwij' - dwijanmana ka arth yon hoga ki ek janm to mata ke garb se hua aur dusra hua bhagwachchharnagti se, jabki wah achyut gotri kahlaya. Is aashay se dwij wahi hai jo bhagwachchharnagat- vaishnav, hit dharmi aur Shri Harivansh paraayan hai. In “dwij” rup bhakt aur rasikon ko prasann karne wale Chandra shriharibans aap hain. Yahan dwij shabd ka arth brahmin, kshatriya, vaishy ye teen varnon se kadpi nahi hain kyonki Shri harivanshchandra ne to dwijati ke karmon ka khandan karke premabhakti ka prasar kiya hai to phir jinke mat se bedokta karm-kanda ka khandan hua hai, bhala unke abhyuday se karmth dwijatiyon ko prasannata kyon hogi? Ataev, yahan 'dwij' pakshi- chakorwat premi rasik bhakt jan hi grihneey hain aur in rasik kumud rupi dwijon ko viksit karne wale kincha unke samuh mein prakt hone wale Chandra Shri Harivansh hi hain. (5) “kripa rup ju bapu dharyau''- santa mahatma ganon ka prakty (janm) karmon ke adhin nahi var swaiccha se hai. Iseeliye Shri harivanshchandra ne jeevan par kupa karne ke liye daya-parwash hi janm liya hai. Inka kripa vapu to keval rasik-janon ko rasmay yugal ki prem sampatti ka dan karne ke liye hi prakt hua hai, kyonki aavagaman se chhuda dene ke liye satya ka marg dikhane ke liye to anekon santon ka prakty ho chuka tha, atah inki avshyakta na thi kintu inki vastu (nitya vihar) ka dan to keval yahi kar sakte the, isliye swayam prakt hue etdartha aapka avtar kripa chapu hai. Pa ra Srihitdas ji maharaj 397 (41) “nirbhiman, nirwair nirupam nishkalank ju sarvda '- is pankti bale chhand ki purv pankti hai- “karat je anashan nindak tinhun pai anugrah karthau''- arthat nindakon par bhi aapne apaar anugrah kiya, unhen apni kripa se patr bankar sweekar kar liya aur apni divya sampatti nitya vihar ka unhen adhikari bana diya. Yah baat sant-gun ka prakash karti hai. Aise-aise aapke anant sadgun hain un sabki ganna kaun kar sakta hai, isse nirbhiman nirwair--- aadi ek do gunon ke naam lekar anekon ki or sanket kiya gaya hai. “nishkalank ju sarvda' jo sada kalank rahit hain. Jinki kirti sada dhaval-swachchh hai, isse adhik aur kya kaha jay? Tatparya yah ki aap anupam hain. Yahan “nirupam nishkalank ju sarvda' vakya gagar mein sagar barkar dikhane jaisa karya hai. Pathakgan vichar karen. Yahan alpamatra mein do-char gunon ka varnan sanket karke “nirupam ' aur ' sarvda nishkalank Chandra" ki upma se itna bada varnan hai, jiske arth ka anta nahi ho pata. Phir yadi koi kuch kahna chahe to kahe kya? Jai jai shri Harivansh prasansit sab huni, sarasar vivekkit 'kobid jahuguni. Gupt riti achran, pragat sab jag diye, gyan-dharm-brat-karm, bhakti kinkar kiye