॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 13.2

shrihit pake dharmi prakaran

Shri Harivansh-dharamma pragatta nipatta, kai taki upma kaun nahinn |
sadhan takau sabai nav-lakshan, tachchhin vegi vicharat jahi na ||
jo ras-riti sada aviruddha, prasiddh-virudh tajatta kyau tahi na |
jo pai dharammi kahavat hau, tau dharammi-dharamma samujjhat kahi na ||
श्रीहरिवंश-धरम्म प्रगट्ट निपट्ट, कै ताकी उपमा कौं नाहिंन।
साधन ताकौ सबै नव-लक्षन, तच्छिन वेगि विचारत जाहि न॥
जो रस-रीति सदा अविरुद्ध, प्रसिद्ध-विरुद्ध तजत्त क्यौं ताहि न।
जो पै धरम्मी कहावत हौ, तौ धरम्मी-धरम्म समुज्झत काहि न॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

Shri harivanshchandra ke dwara prakt kiya gaya dharm achchhi tarah se ujagar hai aur sarvshresht hai, jiski upma ke liye koi dusra hai hi nahi. Is dharm ke sadhan hain- wahi nau lakshan se yukt navdha bhakti; atah he bhai! Tu abhi isi kshan se shighr jiska vichar nahi kar raha hai uska vichar kar! Yah rasreeti sadaiv sadhak ke anukul hai. Jo iske prasiddh virodhi hain, tu unka tyag kyon nahi karta? Yadi tum ' dharmi' kahlate ho to [hit] dharmiyon ke vastvik dharm ko kyon nahi samjhte? Arthat‌ | samjhne ka prayas karo, samjho. Swami Srihitdas ji maharaj

tippni: (1) “jo ras riti sada abiruddha'- vishyi jeevan ki vishyabhimukhi vrittiyo ko bishyon ki or se hatane aur rokne wale sadhan use kuch viparit se pratit hote hain aur kashtadayak bhi kintu ras-riti param vishuddh prem-dharm hone par bhi vishay-sadrishyata se vishyi janon ko bhi ruchikar aur priy hai at: anukul hai. Dusri drishti se yah ki navdha bhakti kriyatmak saral hone se prem lakshna bhi saral hi hai. Bhakti kau saralta mein prahmadji ne kaha hai- 'ko5ti prayasosur balka hare- rupasne swehridi chhidravatsat. = Shri maddhar 7/7/38. Arthat‌ “he asur balkon! Shrihari ki upasna mein aisa kaun sa prayas (kasht) hain? Kyonki Shrihari to apne hriday mein akash ki tarah sthit hain. '” iske siwai is ras-riti mein pratyek prani ka man apne aap akarshit hokar lag jaata hai, lagane ka praytn nahi karna padta, kyonki yah riti swayam rasrupa hai. Anya sadhno mein to koshish karke man ko bhagwan‌ mein lagana parta hai kintu yahan aisa nahi hai. Yahan yugal kishor ki rup madhuri, leela madhuri, keli-madhuri, dham-madhuri aadi mein se kisi na kisi madhuri mein man ko phansna hi parta hai isliye yah ras-riti sada aviruddha-anukul hai. (5) “'dharammi dharamm samujjhat kahi na” - Shri Harivansh dharm ke manne wale hi yahan ' dhami ' shabd se sambodhi ta kiye gaye hain. Inke dharm ka varnan Shri hitacharya ki vaniyo mein sarvatra ya varnit hai. Dharmi ko chahiye ki wah un vani-granthon ka ablokan karke apne anannya dharm yukt rasreeti ko samjho. Sankshep mein shri acharyapad ne us dharm ka do dohon mein varnan kar diya hai- sab sao hit nishkam mati brindaban vishram. Radhavallabhlal kau hriday dhyan mukh naam. Tanhin rakhi satsang mein manhin prem-ras bhev. Sukh chahat “Harivansh hit' Krishna kalpatru sev ॥ jiski Harivansh-dharm se priti nahi, dharmiyo se mitrata nahi, Shri Harivansh naam mein ruchi nahi aur virodhi janon ka sang hai, wah dharm ke swaroop ko nahi samjh sakta-