॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 2.1

shrihit ras vilas prakaran

Shri Harivansh nitya var-keli | badhat saras prem-ras beli ||
meli kantha bhuj khelhin ||
banitan-gan man adhik sirat | nirakhi-nirakhi lochan na aghat
gat gaur-sanval bane ||
jooth- jooth juvtinu ke ghane | madhya kishor-kishori bane ||
ganainkaunnarti ati badi ||
nit-nit leela, nit-nit raas | sunhu rasik Harivansh vilas |
Shri harivanshhi gaihaun ||
श्रीहरिवंश नित्य वर-केलि। बाढ़त सरस प्रेम-रस बेलि॥
मेलि कण्ठ भुज खेलहीं॥
बनितन-गन मन अधिक सिरात।निरखि-निरखि लोचन न अघात
गात गौर-साँवल बने॥
जूथ- जूथ जुवतिनु के घने। मध्य किशोर-किशोरी बने॥
गनैंकौंनरति अति बढ़ी॥
नित-नित लीला, नित-नित रास। सुनहु रसिक हरिवंश विलास।
श्रीहरिवंशहि गाइहौं॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

Shri Harivansh ki yah shreshth evam nitya ras-keli (nitya vihar krida) pratikshan saras he evam ismen prem ras rupi lata nitya vardhmaan rahti hai. (is vihar mein donon Priya-priyatam) gal bahiyan diye sada kreeda-paraayan rahte hain, jinka darshan kar sahachri-ganon ka man adhikadhik shital hota rahta hai. Ve dekhti hi rahti hain, is vihar ko, kintu dekhte hue bhi unke netr atript bane rahte hain. (nritya krida ke samay ki chhata bhi badi apurwa hai. ) gaur-Shyam-tanu yugal kishor bhali prakaar sushobhit hain aur sab sachariyo ke madhya mein shobha pa rahe hain. Yuvati-ganon ke anekanek yooth hain. Us raas mein atydhik badi priti ka varnan kaun kar sakta hai? Shri sevak ji kahte hain- he rasiko ! Suno, main Shri Harivansh vilas ka jo varnan karunga, usmen sada-sada aisa hi raas aur sada-sada aisi hi leelaen hain at: main aise hi rasmay Shri Harivansh ka hi gaan karunga

tippni: “nitya var keli" rasikcharya reehit Harivansh Chandra mahaprabhu pad ne jis Vrindavan-vihar ras keli ka is vishv mein prakash kiya hai, bah avtarnad se pare, vilakshan evam agochar hai. Wah nitya hai, anadi hai, aur anant hai. Uska sukshm prichay itna hi hai ki nitya-dham Vrindavan mein nitya kishor shri Radhavallabh lal apni nitya sachariyo ke saath nitya raas-vilas hi kiya karte hain. Yah ras keli vishv prapancha se sudur hai, srishti-palan evam pralya ki chhaya maya uska sparsh bhi nahi kar 'pati. Aur to kya srishti palan pralya ke pradhan kartta-purush brahma, Vishnu aur shiv bhi us nitya-vihar se aparichit hain. Is ' nitya-var keli' mein avtaron ke bhi bij, avtari shri radhavallabhlal nitya rasamyi kreedaai karte aur raas-vilas ka hi sukh liya karte hain. Sul- (2) jalta bhavan sukh shital chhahan, Shri Harivansh rahat nit jaha. Tahan na chaibhav an ki ॥ jab-jab hot dharm ko hani, tab-tab tanu dhari pragtat ani. Jani aur dujau nahi ॥ jo ras riti sabni ten duri, so sab vishv rahi bharpuri. Muri sajeevni kahi dai ॥ Swami Srihitdas ji maharaj 27