॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 13.7

shrihit pake dharmi prakaran

karau Shri Harivansh upasak sang ju, priti tarang surang bahyau |
karau Shri Harivansh ki riti sabai, kul-lok-virudh ju jai sahyau ||
karau Shri Harivansh ke naam sao priti, ja naam-pratap dharamma lahyo |
ju dharammi-dharamma swarup lahyau, bisrau jin Shri Harivansh kahyo ||
करौ श्रीहरिवंश उपासक संग जु, प्रीति तरंग सुरंग बह्यौ।
करौ श्रीहरिवंश की रीति सबै, कुल-लोक-विरुद्ध जु जाइ सह्यौ॥
करौ श्रीहरिवंश के नाम सौं प्रीति, जा नाम-प्रताप धरम्म लह्यो।
जु धरम्मी-धरम्म स्वरुप लह्यौ, बिसरौ जिन श्रीहरिवंश कह्यो॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

tum shri Harivansh ke us upasak ka sang karo jo prem-taranga ke sundar anand-rang mein bah gaya ho-sarabor ho. Tum Shri Harivansh ki (anannya dharm sambandhi) sabhi reetiyon ka palan karo. Yadi tumse apne kul evam lok ka virodh saha ja sake to. Shri Harivansh ke naam se prem karo, jis naam ke pratap se tumne dharm ko prapt kiya hai aur dharmiyon ke dharm ka swaroop jo kuch Shri Harivansh ne kaha hai, us (Shri Harivansh 'kathan-'“sham-syama pad kamal sangi sir nayau'') ko mat bhulo. Shri Harivansh dharmi hi kripa karke sadhak ke hriday mein prem aur ras utpann karenge- mul- Shri Harivansh dharamm je janat, priti ki granthi tahin mili kholat. Shri Harivansh gharammini maajh, dharammi suhat gharamm lai bolat ॥ 336 shri sevakwani-deeka (trayodash prakaran )