॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 14.17

shrihit kache dharmi prakaran

swasth sakal taji, guru charan bhaj,
gun-naam suni kathi, santan sao sang kari ||
kal-vyal mukh pararyau, kaph vaat pitt bharyau,
bhramyau kat anannya kahe ki jiy laj dhari ||
sevak nikat rasreeti priti man dhari,
hit Harivansh kul-kani sab parihri |
kache rasikni sao vinati karat aisi,
govinda duhai bhai jo na sevau shyama hari ||
स्वास्थ सकल तजि, गुरु चरणन भज,
गुन-नाम सुनि कथि, संतन सौं संग करि॥
काल-व्याल मुख परर्यौ, कफ वात पित्त भरयौ,
भ्रम्यौ कत अनन्य कहे की जिय लाज धरि॥
सेवक निकट रसरीति प्रीति मन धरि,
हित हरिवंश कुल-कानि सब परिहरि।
काचे रसिकनि सौं विनती करत ऐसी,
गोविन्द दुहाई भाई जो न सेवौ श्यामा हरि॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

he bhai! Tu apne sare swarthon ka tyag kar, Shri guru-charnon ka bhajan kar, apne isht dev Shri radhavallabhlal ke gun evam namon ka shravan-ka than kar aur premi santo ka satsanga kar. (vichar karke dekh!) tu kal rupi sarp ke mukh mein para hai aur tera nashwan‌ sharir kaph, vaat evam pitt se bhara hua hai. Phir tu kisliye bhram mein ho ? Are, apne anannya kahe jane ki laj to (kam se kam) apne chitt mein dharan kar. Shri sevakji kahte hain-ki Shri Harivansh ke sevkon ke nikat (nivas karke ya unki samipita prapt karke) ras-riti evam priti ko apne man mein dharan kar aur Shri Harivansh ke liye (unki prapti, priti ke liye) apne kul ki mariyada, pratishtha aadi sab (bandhanon) ka partyag kar de. Main kachu rasikon se vinati karta hoon ki he bhaiyo! Yadi tum Shri shyama-Shyam sevan nahi karte ho to tumhen meri or se Shri gevinda ki duhai hai jo aisa na karo. Arthat‌ shpath hai, atah Shri shyama-Shyam ka sevan avashya karo.

tippni: (1) anannya kahayai ki jiy laj dhari- jis samay tune Shri guru-charnon mein baithkar shriharibans-dharm ke ananyata purvak palan ki pratigya ki thi aur rasikon ke beech mein avartha- kuch ek nakli dharmo, anannya rasik dharmi kahla kar keval bardai ke liye apne aap ki (upasna aadi) riti sabse nyari karke ananyata kau hod si laga dete hain (ki ham Shri Radhavallabh lal ke manne wale anannya dridh rasik hain) kintu wahi dravy ke liye dharm (ananyata aadi) ka partyag kar dete aur adhik kya kahe dusre ke bap ko apna bap kahne mein bhi nahi chukte. (tab ananyata kaha rahatti hai?) che jab bolte hain, to unke bol batau (bata, patthar) ke jaise kade aur chot karne wale hote hain. Che mani (abhimani) guru ban kar dusron ki baton ko praman hi nahi mante. Suno. Ye kachu dharmiyon ke chhal-chhand hain. Ye log, hit dharmi evam hit-dharm ke marm ko nahi jante, (par anannya dharmeepne ka natya avashya karte hain.