je Harivansh prem ras jhile | kyau sohain logan mein mile |
gilyau kal jag dekhiye ||
karm sakam na kbahu karen | swarg na ichchhain, nark na darain
dharain dharm Harivansh kau ||
Shri Harivansh - dharm nirwahain | Shri Harivansh prem ras lahain ||
te sab shri Harivansh ke ||
‘sevak’ tin dasni kau das | sunhu rasik Harivansh vilas ||
Shri harivanshhi gai haun ||
जे हरिवंश प्रेम रस झिले। क्यौं सोहैं लोगन में मिले।
गिल्यौ काल जग देखिये॥
कर्म सकाम न कबहूँ करें। स्वर्ग न इच्छैं, नर्क न डरैं
धरैं धर्म हरिवंश कौ॥
श्रीहरिवंश - धर्म निर्वहैं। श्रीहरिवंश प्रेम रस लहैं॥
ते सब श्री हरिवंश के॥
‘सेवक’ तिन दासनि कौ दास। सुनहु रसिक हरिवंश विलास॥
श्रीहरिवंशहि गाइ हौं॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
jo kripapatra jan Shri Harivansh Chandra ke dwara prakashit prem ras se paripurn ho chuke hain, ve bhala jan sadharan mein mile hue kaise shobha pa sakte hain? Ve vishv ko kal kablit dekha karte hain. [yahan tak prem dharm ka varnan karke ab sankshepat premion ke liye sadhan rup se kuch avashyak sutra batte hain ki-] wah kabhi bhi sakam karm na kare. Na to swarg ki ichchha kare aur na narkon se dare hi. Shri Harivansh-dharm ko hi sada dharan kiye rahe aur isi ka nivah kare to avashya shriharibans ras (prem) ko prapt kar lega. (jo is prakaar se Shri Harivansh dharm ko dharan karte hain) ve nischit hi Shri Harivansh ke nij jan hain. 'sevak' aise shri haribansh-daso ka das hai. Kitna mahan hai yah dharm? Atah he rasiko ! Aap shri Harivansh ka ras-vilas sunen-aadar aur prem purvak sunen. Main aise lok-vilakshan premavtar shrihit Harivansh ka hi gaan karunga.
tippni: swarg na ichchhain nark na darai- punyeon ka parinaam swarg aur papon ka parinaam narak hai atah premi ke liye swarg narak donon bandhan hain kyonki ye donon hi uske lakshya nahi hain. Inki vasna se yukta chitt wala vyakti sacha mumukshu bhi nahi, premi to hoga kaha se? Isliye skamta ka tyag karke Swami Srihitdas ji maharaj 109 samasth vasnao se mukt hokar prem-dharm ko dharan kare. Pralobhan evam bhay donon hi prabhu se prem prapt karne mein badhak hain. Swarg hai sukh ka pralobhan aur narak hai sakshat bhay. 'jab tak jeev samasth shubhashubhon se rikta na ho jayga prem ka adhikari nahi ban sakta. Atah prem-prapti mein nishakmata pratham aur aniwarya sadhan hai. ॥ jai jai Shri Harivansh ॥ | naam pratap (tritiya prakaran) purv prichay- pehle evam dusre prakaran mein kramash: Shri Harivansh yash (vyapkatwa) aur ras-vilas ka varnan kiya gaya. Ab tisre prakaran mein pratham Shri Harivansh naam ke smaran purvak manglanushasan karke ras-marg ki sadhna ka updesh karte hain ki yadi koi mahabhagyavan jeev us divya prem ras ka pan karne kau abhilasha karta ho to uska kya dharm hai? Use apne sadhan kal mein kis kram se apni upasna-sadhna prarambha karni chahiye ? Koi pooch sakta hai ki prem to sadhan-sadhya nahin balki kripa-sadhya hai; phir uske liye Shri sevak ji kaise sadhno ka vidhan kar sakte hain ? To sankshep mein itna hi kathan paryapt hoga ki ve prem-prapti ke sadhno ke jo swaroop bata rahe hain ve sadhan bhi prem rup hain aur prem prapti ke purv, niyamon ka palan avashyak hai kyoki prem ka mahal niyamon ki khai ke bhitar hai kintu ve niyam bhi prem rup hain. Niyamon ke palan ke upranta hi koi use samjh sakta hai. Swechchhachari vyakti us prem ke swaroop ko kabhi nahi samjh sakta. Khet, bone ke pehle jot kar saaf kiya jaata hai, tab usmen bij dala jaata hai to bah ugta bhi hai. Jhaad-jhankhad yukt khet mein bina jote hi bo dene se bij to vyarth jaata ho hai shram bho vyarth jaata hai. Isi prakaar yahan Shri sebak ji ne sadhan - prem ke niyamon ka vidhan karke mano chitt bhumi ko jot kar tayyar kiya hai. Swami Srihitdas ji maharaj 922 jab prem-khet hriday tayyar ho jayga usmen apne aap grem-bij ug jayga aur tab us hridya ki kya dasha hogi, iska varnan isi prakaran ke antim sadhe teen chhandon mein varnit hai. Ab granthkar sadhak ke prathmik karttavya dharm ka adesh karte hain- mul- (1) Shri Harivansh naam nit kaha, jam pratap naam phal lahaun. Naam hamari gati sada ॥ je sevain Harivansh su naam, pavain tin charanni vishram. Naam ratan santat karen