॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 3.3

shrihit naam pratap jas prakaran

prathamhin sevhu guru ke charan | jin yah dharm kahyau sab karn ||
naam-pratap bataiyau ||
jo Harivansh naam anusarhu | nishidin guru kau sevan karahu ||
sakal samarpan pran-dhan ||
guru-seva taji karhin je bani | yahi adharm, yahi sab hani ||
kani na rasikan mein rahe ||
guru-govinda na bhed karai | santat sakal sunhu chit lai ||
Shri Harivansh pratap jas ||
प्रथमहिं सेवहु गुरु के चरन। जिन यह धर्म कह्यौ सब करन॥
नाम-प्रताप बताइयौ॥
जो हरिवंश नाम अनुसरहु। निशिदिन गुरु कौ सेवन करहु॥
सकल समर्पन प्राण-धन॥
गुरु-सेवा तजि करहिं जे बानि। यहै अधर्म, यहै सब हानि॥
कानि न रसिकन में रहै॥
गुरु-गोविन्द न भेद कराइ। संतत सकल सुनहु चित लाइ॥
श्रीहरिवंश प्रताप जस॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

(is prakaar purv kathit riti se) sarv pratham Shri guru charnon ka seban karo jinhone is (hit) dharm ke palan karne ke liye agyaa di aur jinhone nagma ka pratap bataya hai. Yadi tum vastav mein Shri Harivansh naam 'ka anusrashna (aashray) kar rahe ho to tumhen chahiye ki apne pran, dhan aur sarvasv ke samarpan purvak din raat Shri Gurudev ka hi seban karo. Jo log shri guru-seva ko chhodkar anya sadhno mein man lagate hain, yahi unka adharm aur badi bhari hani hai. Aise hathsheel adhami ki rasikon mein koi pratishtha ya mariyada man nahi rah pata. Ataev sache upasak ka dharm hai ki wah shri Gurudev evam govinda mein koi bhed na dekhe na kare. Ra Srihitdas ji maharaj 125 Shri sevak ji kahte hain-- rasiko ! Aap nirantar chitt lagakar Shri Harivansh ka pratap-yash suniye.

tippni: (1) pratham ju sevhu guru ke charan'' sarvpratham sarv bhaven shri Gurudev ke hi charnon ke sevan karne aur unke prati nishtha dridh karne ka yah abhipray hai ki inheen Shri Gurudev ki kripa se jeev ki rati shrihit charnon mein hui hai at: yahi sarv pratham sevya hain. Anadikaleen bhav-prasta jeev ko bhagwan‌ ki or laga dene ka hi unka upkar anant hai at: ve pratham aur anant kal tak sevneey hain. (2) “guru govinda na bhed karai'' vastav mein bhagwan‌ aur guru mein koi bhed to hai hi nahi, shruti kahti hai- ““yasy deve parabhaktiryatha deve tatha gurau. '' arthat‌ “jiski bhagwan‌ mein parabhakti hai aur jaisi bhagwan‌ mein hai chairi hi guru mein hai, to wahi moksh ka adhikari hai. Isi prakaar bhagwan‌ shrikrishna Uddhav ke prati Shri maddhagwat ekadash skandha mein kah rahe hain-- “acharya maa vijaneeyat‌. '! Arthat‌ “acharya (guru) rup mein mujhe hi jano. '' mahatma Kabir to shastr se bhi upar uthkar kah gaye. Unhone Gurudev ka pad govinda se bada dikha diya- guru govinda dou khade , kake lagun. Paye. 'balhari in gurun vhi, govinda diya lakhay ॥ theek to hai, govinda ko mila dene wale Gurudev hi to hain, atah wahi govinda se purv vandaneey hain. Aisa hi kuch guru-tatv ke vishay mein nabhaji ne kaha hai- bhakti, bhakt, bhagwant, guru chatur naam vapu eka inke pad bandan kiye maintat vighna anek ॥ punah sadhan-shaili ka hi nirdesh karte hain- mul- guru-updesh sunhu sab dharm, Shri Harivansh-chaam phal-marm. Bharma bhagyau bachanni sunat ॥ suk mukh-vachan ju shravan sunavhu, tab Shri Harivansh su naam kahavhu. Man sumiran bisrai nahi ॥ hari, guru, charan, seva anusarhu, archan-bandan santat karahu. Dasantni kari sukh lahau ॥ sakhya samarpan bhakti badhai, santat sakal sunhu chit lai. Shri Harivansh pratap jas avartha- Shri Gurudev ke updesh se sampurn dharm ka shravan karo, jiska marm arthat‌ rahasya Shri Harivansh naam hi hai. Shri guru ke prakashmay vachno ko sunte hi tumhara bhramrupi agyaan-andhakar bhag jayga Swami Srihitdas ji maharaj 127 'pehle jab Shri shukdev ji ke Shrimukh-vachan ( Shri madbhagwat puran) tumhare dwara sune jayenge, tab tumhen (sarasar vivek hokar) shriharibans naam mein nishtha hogi - tum us naam ko kah sakoge. (yadi is prakaar kram se tum chal sake to phir tumhara) man (un Shri Harivansh ke) smaran ko kabhi bhulega hi nahi. Phir bhi tum saath-saath Shrihari (Radhavallabh lal) aur Shri guru ke charnon ki seva ka anusaran hi karna, nirantar unke prati archan aur vandan karte rahna evam unki seva aadi karke dasy sukh prapt karna. Pashchat‌ navdha kram se sakhya aur antim atma-samarpan purvak sevan karne se bhakti abhivriddhi ko prapt hoti hai. Shrohrivansh pratap-yash ki prapti ka yahi path hai, use sab log chitt lagakar suniye. “suk mukh vachan ju shravan sunabhu. '' Shri maddhagwat puran hi shukdev ji ka Shrimukh vakya hai. Ismen adyanta ek bhagavtattwa ka hi nirupan hai. Iske shravan evam manan se sadhak ke chitt mein vairagya gyan ke saath-saath sva evam par (aashray tatv shrikrishna) tatv ka bodh ho jaata hai. Bhagwat shabd ka arth hi hai- bhagwan‌ ke rup ki samjh. Jise bhagwan‌ ke swaroop ki theek-theek jankari ho gayi, wahi unke prati anannya prem kar sakga aur bahi govinda aur guru ke abhed tatv ko samjh sakga, at: spasht hai ki “' shuk mukh bachan'' ka sacha shrota hi Shri Harivansh naam ka adhikari hai. Aur jo shrohribansh naam ka adhikari hai, wah unki sampatti nitya vihar ka bhi adhikari hai. Isi kram ko dhyan mein rakhte huye rasikon ne kaha hai- pratham sune bhagaut bhakt mukh bhagwat bani. Dviti aradhai isht vyas naun bhanti bukhani ॥ tritiya karai guru daksh param sarvagya raseelau. Chauthe hoi virakta basai banraj jaseelau ॥ panchai bisrai deh sukhi tab chhathen bhavna raas ki. Saten pavai riti ras Shri Swami haridas ki ॥ = Shri bhagwat rasik ji mul- (5) guru-updesh chalhu, ehin chal, aisi bhakti karai bahu kala