guru-updesh chalhu yah chal | aisi bhakti karahu bahu kal ||
ye nav lakshan bhakti ke ||
yah hari-bhakti karai jab koi | tab Harivansh naam rati hoi
yah ju bahut harikeekripa ||
hari-Harivansh bhed nahin karai | Shri Harivansh naam uchcharai ||
chhin-chhin prati bisrai nahi ||
priti sahit yah naam kahai | santat sakal sunhu chit lai ||
Shri Harivansh pratap jas ||
गुरु-उपदेश चलहु यह चाल। ऐसी भक्ति करहु बहु काल॥
ये नव लक्षण भक्ति के॥
यह हरि-भक्ति करै जब कोई। तब हरिवंश नाम रति होइ
यह जु बहुत हरिकीकृपा॥
हरि-हरिवंश भेद नहिं करै। श्रीहरिवंश नाम उच्चरै॥
छिन-छिन प्रति बिसरै नहीं॥
प्रीति सहित यह नाम कहाइ। संतत सकल सुनहु चित लाइ॥
श्रीहरिवंश प्रताप जस॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
Shri Gurudev dwara updesh ki gayi paddhti ka anusaran karte hue bahut kal tak bhakti karta rahe. Yadi koi aisi navdha bhakti karta rahega, to avashya uski shriharibans naam mein nishtha ho jaygi, yah Shrihari va y Swami Srihitdas ji maharaj 129 ki bahut badi kripa hai. Sadhak ko chahiye ki wah hari aur Harivansh mein bhed buddhi na karke pratikshan Harivansh naam ka hi ucharan karta rahe; iska vismaran na kare- ise bhule nahi varam priti purvak is naam ko liya hi kare. Rasiko ! Shri Harivansh ka yah pratap yash chitt lagakar suno.
tippni: “ye nau lachchhan bhakti ke'' Shri maddhagwat mein bhakti ke nau lakshan is prakaar kahe gaye hain- shravnam keerttanam vishnoh smarnam pad sevnam. Archanam chandanam dasyam sakhyamatmanivednam ॥ (7.23) arthat bhagwan ki bhakti ke nau bhed hain- shravan, keerttan, smaran, pad-sevan, archa, vandana, dasy (seva), sakhya aur sarvatma samarpan. Mul- (6) guru-ushdesh chalhu ehi riti, shriharibans-naam-pad-priti. Prem mul yah naam hai ॥ premi rasik japat yah naam, presh magan nisu ban vishrama shri haribansh jaha rahe ॥ prem pravah parai jan soi, va