॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 3.6

shrihit naam pratap jas prakaran

guru-updesh chalhu ehi riti | Shri Harivansh-naam-pad-priti ||
prem-mul yah naam hai ||
premi rasik japat yah naam | prem magan nij van vishram ||
Shri Harivansh jaha rahayn ||
prem-pravah parai jan soi | tab kyau lok-ved-sudhi hoi ||
jab Shri Harivansh kripa kari ||
vrat-sanyam tab kaun karai | santat sakal sunhu chit lai ||
Shri Harivansh pratap jas ||
गुरु-उपदेश चलहु एहि रीति। श्रीहरिवंश-नाम-पद-प्रीति॥
प्रेम-मूल यह नाम है॥
प्रेमी रसिक जपत यह नाम। प्रेम मगन निज वन विश्राम॥
श्रीहरिवंश जहाँ रहैं॥
प्रेम-प्रवाह परै जन सोइ। तब क्यौं लोक-वेद-सुधि होइ॥
जब श्रीहरिवंश कृपा करी॥
व्रत-संयम तब कौन कराइ। संतत सकल सुनहु चित लाइ॥
श्रीहरिवंश प्रताप जस॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

yadi Shri Gurudev ke updesh ke anusaar is (upar kahi gayi navdha-bhakti evam Harivansh naam-smaran ki ) riti se chaloge to Shri Harivansh naam aur charnon mein priti ho jaygi, kyonki yah (Harivansh) naam prem 'ka udgam sthal hai. Premi rasik jan is naam ko japte hain aur is naam ke pratap se prem magn hue shrohrivansh ke nij-van ( aikantik keli bhumi shrivindavan) mein achal vishram pa rahe hain jaha nirantar shriharibans rahte hain. Is naam ka japak jab prem ke pravah mein par jayga to bhala use lok evam ved ki maryadaon ki sudhi kaise ho sakti hai? Jabki us par swayam prem rup Shri Harivansh ne kripa ki hai, tab vrat aur sanyam kaun kar sakta hai? (arthat‌ premi to keval apne prabhu ke rup mein tallin ho jaata hai, use phir bahay acharon aur maryadaon ki khabar tak nahi rah jati. ) he rasiko! Yah hai Shri Harivansh ka pratap-yash, aap chitt dekar iska shravan karen.

tippni: “prem pravah parai jan soi , tab kyon lok-ved-sudhi hoi. '' prem pravah mein pade hue premi ki dasha ka ek chitra mahatma Shri sundardas ji ne kya hi accha chitrit kiya hai. Wah lok aur bed se kitne upar uth gaya hai? Pathak dekhen- Swami Srihitdas ji maharaj prem lagyau parmesur sao tab bhuli gayau sigrau ghar vara. Jyoun unmatt phire jit hi tit nainku rahi na sareer sambhara ॥ swaans usans uthe sab raumm chalai dug nir akhandit dhara. Sundar kaun karai navdha vidhi chhaki rahyau ras pi matwara ॥ na laj teen lok ki, na ved ko kahyau karai. Na sank bhut pret ki, na dev yachchha tain darai ॥ sunai na kan aur ko, drasai na aur ichchhana. Kahai na mukkha aur baat, subhakti prem lachchhana ॥ jo sadhak Shri Harivansh naam ke pratap aur jaap se prem pravah mein phans gaya, uske bahya lakshan ka varnan sat aur aath do chhandon mein kramash karte hain- jool jab yah naam idai aai hai, tab sab sukh-sampati pai hai. Shriharibans sujas kahai ॥ aru apni prabhuta nahin sahai, toon te nich apanpau kahai. Subh aru asubh na janhi ॥ samujhai nahi kachhu vlul-karm, sudhau chale aapne dhami rasikni sao pritam kahai ॥ kabuhu. Kal vritha nahin jai, santat sakal sunhu chit lai. Shri haribansh pratap jasa