raas-ras-rachit bani su pragtit jagat,
shuddh aviruddha parsiddha jani |
Shyam-shyama pragat, pragat akshar nikat,
pragat ras shravat, ati madhur bani ||
so ju bani rasik, nitya nishi-din ratat,
kahat aru sunat, ras-riti jani |
tahi taji aur gaun na kbahu kachhu,
pran rami rahi Harivansh-bani ||
रास-रस-रचित बाणी सु प्रगटित जगत,
शुद्ध अविरुद्ध परसिद्ध जानी।
श्याम-श्यामा प्रगट, प्रगट अक्षर निकट,
प्रगट रस श्रवत, अति मधुर बानी॥
सो जु बानी रसिक, नित्य निशि-दिन रटत,
कहत अरु सुनत, रस-रीति जानी।
ताहि तजि और गाऊँ न कबहूँ कछू,
प्राण रमि रही हरिवंश-बानी॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
rasikacharya shrihit harivanshchandra ne raas ras rachna-varnan se purn vani ko jagat mein prakt kiya jo shuddh, aviruddha (anukul) aur prasiddh hai. Jis vani ke pratyek akshar ke nikat Shri shyama-Shyam prakt hain, jo atyant madhur aur prakt rup se ras ko dhara pravahit wali hai. Jis vani ka rasik jan nitya-nishidin gaan karte rahte hain aur jiska kathan-shraban karne se ras-riti gyaat hoti hai. Shri sevakji kahte hain- main us vani ko chhodkar kabhi aur kuch gaunga, kahanga hi nahi; kyoki mere prannon mein to keval bahi shriharibans-bani hi ram rahi hai.
tippni: ““sham syama pragat pragat akshar nikat'' Shri Harivansh-vani ke pratyek akshar ke nikat Shri shyama-Shyam prakt rup se virajte hain, ismen koi na to atyukti hai aur na ascharya hi, kyonki shrihit Harivansh ki vani kya hai? Premamyi banshi ki madak cha Srihitdas ji maharaj 155 tan. Jise sunkar yugal mugdh rahe ate hain. Dusre is vani mein sarvatra Shri Priya ji ki mahima ka gaan hai, jo priyatam Shri Lalji ka pran hai. Ve us gun-gaan ko sunkar usi gaan mein ram rahe hain. Shri kishori ali ji ne kaha hai- jo koi Shri Radha jas gavai. Ati aasakt rup ras lobhi sham tahan chali avai ॥ prafulit kamal kusum par jaisen bhramar ani mandravai. Taisehin Radha naam let ttaa age maunhan bainnu bajachai ॥ prem bandhyau so sanghi dole atisai neh janavai. Radha naam upasak kau hari apun das kahavai ॥ aur jaha Radha hain waha shrikrishna avashya hain. Yugal aur yugal ke naam gun leela; do tatv nahi ek hi hain. Naam aur namo mein abhed hai. Is drishti se bhi vani mein yugal ka nivas hai, atah siddh hai ki teney vangamyi murtti pratyaksha varttate hareh. Arthat '“yah un Shrihari ki vaneemyi murti hai, ve yugal ismen pratyaksh rup se virajman hain. Ras-lolup rasopaskon ko Shri Harivansh-chani mein hi ramne ki prerna pradan kar rahe hain- sul bhag-anbhag janat ju nahin apnaun, kaun dhau labh aru kaun hani. 'pragat-nidhi chhandi kat phirat sabaika” karat, bhram bhatkat su nahin bhul jani ॥ 2 suka pranteey shabd hai. Jiska arth hai bhikhmanga pan, dukadkhori ya aisa hin karya jo sada-sada use usi nimn-dasha mein dale rakhe, naunch-khasot jaisa karya nay 2156 shri sebakwani-tika ( chaturtha prakaran )