yahi nit-keli, yei ju naik nipun,
yahi van bhumi nit-nit bukhani |
bahut rachna karat, rag-ragini dharat,
tan bandhan sab thanni ani ||
jyoun moond nahin milat taksar tain bahiri,
lakh mein gair muhri ju jani |
yaun ju ras-riti barnat na thani milat
jo na uchcharat Harivansh - bani ||
यहै नित-केलि, येई जु नाइक निपुन,
यहै वन भूमि नित-नित बखानी।
बहुत रचना करत, राग-रागिनि धरत,
तान बंधान सब ठाँनि आनी॥
ज्यौं मूँद नहिं मिलत टकसार तैं बाहिरी,
लाख में गैर मुहरी जु जानी।
यौं जु रस-रीति बरनत न ठाँई मिलत
जो न उच्चरत हरिवंश - बानी॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
Shri sevak ji kahte hain- yah Harivansh vani hi nitya keli hai, yahi nipun nayak Shrilal evam Shri Priya ji hai aur yahi shrivindavan bhumi hai, jiska bakhan *nitya-nitya' kahkar kiya gaya hai, (arthat dampati, van aur alignon se sampanna chaturwyuhatmak nitya vihar yah vani hi hai. ) phir kyon log vyarth hi bahut si rachna karte, rag-raginiyon ko dharan karte aur anya-anya prakaar ke tan bandhan thante hain? [isi Shri Harivansh vani mein kyon nahi ramte? Yah to nischit hai ki] jo sikka taksal se bahar dhala gaya hai uski banavat (dhal) raksali sikke se nahi mil sakti; wah taksali mohar chap se hin sikka to lakho mein pehchan liya jayga. Isi prakaar jo Shri Harivansh vani ucharan-gaan nahi karte unhen ras-riti ka varnan karte hue bhi rasikon mein thaanv thikana nahi mil sakta. [chahe bhale hi ve apne aapko rasik kaha karen. Jaise bahari sikka, sikka hone 'par bhi taksali sikka nahi kaha sakta isi prakaar Shri Harivansh-vani ka Srihitdas ji maharaj 159 se dur rahne wala vyakti rasik kahlakar bhi taksali - pakka mohri rasik nahi hai. ]
tippni: moond nahin milat taksar te bahari- 'raksal, sarkari sikke (mudra) dhalne ka sthan hai. Kuch log 'taksali sikko ki nakal karke kuch sikke taksal se bahar chori-chori dhal lete hain. Chunki ve taksal ke dhale sikkon jaise hi hote hain; kyonki nakal hain. Kintu phir bhi parkhi log unhen dekhte hi pehchan lete hain; murkh bhale hi dhokha kha jayam. Iska aashay yah hai ki isi prakaar Shri Harivansh dharm aur shriharibans-vani rasikta ki asal taksal hai. Yahi se pakke rasik rupi sikke dhale jaate hain. Kintu kuch log iski dekha-dekhi vani aadi rach-bankar sikka dhalne ki si koshish karte hain kintu rasikon ke samne unka nakli pana khul jaata hai; kyonki moond (mudda, sajateeyta) jo nahi milti. Moond kyon nahi milti? Kyonki ve to - “taksar te bahari '' hain na sache ras-lalchi sadhak ke prati kahte hain ki “rasikapne' ka mithyabhiman chhodkar rasamyi Shri Harivansh vani mein man dene se hi ras ki prapti ho sakti hai- mul- rasik binu kahe sab hi ju manat burau, rasikai kahou kaise ju jani. Apni apni thaur jehi tahan, apni buddhi ke hot mani ॥ nishat kari rasik jau hohu taisi kahou, ab ju yah sunaun meri kahani