haririti akshar bij rishi, Vanshi shakti su ansh |
nakh - shikh sundar dhyan dhari, su jai-jai Shri Harivansh ||
Shri Harivansh su sundar dhyanam | Shri Harivansh vishad vigyanam ||
Shri Harivansh naam gun shrupam | Shri Harivansh prem ras rupam ||
rasmay Harivansh param-parmakshar, Shri Harivansh kripa-sadnam |
atma Harivansh pragat parmanand, Shri Harivansh praman manam ||
jeevan Harivansh vipul sukh-sampati, Shri Harivansh valit varnam |
jai-jai Harivansh jagat-mangal par, Shri Harivansh-charan-sharnam ||
हरिरिति अक्षर बीज ऋषि, वंशी शक्ति सु अंश।
नख - शिख सुन्दर ध्यान धरि, सु जै-जै श्रीहरिवंश॥
श्रीहरिवंश सु सुन्दर ध्यानं। श्रीहरिवंश विशद विज्ञानं॥
श्रीहरिवंश नाम गुन श्रूपं। श्रीहरिवंश प्रेम रस रूपं॥
रसमय हरिवंश परम-परमाक्षर, श्रीहरिवंश कृपा-सदनं।
आत्मा हरिवंश प्रगट परमानँद, श्रीहरिवंश प्रमाण मनं॥
जीवन हरिवंश विपुल सुख-सम्पति, श्रीहरिवंश वलित वरणं।
जै-जै हरिवंश जगत-मंगल पर, श्रीहरिवंश-चरन-शरणं॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
[is sampurn granth-senak vani mein] ' Harivansh' ye char akshar bij hain aur iske [updeshta-prakashak] rishi hain chanshi. Is mantr ki shakti hai ansh (arthat apne lakshya sakhi swaroop jo Shri Radha kau ansh-kiran hai, uski prapti!) [is Harivansh mantr ka chhand chaturakshar *Harivansh' hi hai aur iske devta bhi Shri Harivansh hain;] jinka nakh-shikh sundar dhyan dharan karna karttavya hai aise shriharibans ki jai ho, jai ho. Shri Harivansh hi sundar dhyan hain aur shriharibans hi pavitra rahasyatmak gyan hain. Shri Harivansh naam hi unke apne gun (prem) ka swaroop hai aur Shri Harivansh hi prem ras rup hain. Rasmay Shri Harivansh hi paraatpar evam sarvshresht akshar (avinashi) tatv hain aur Shri Harivansh hi kripa ke dham hain. Pragat rup se chirajman parmanandamay Shri Harivansh hi [pratyek prani ki] atma hain tatha chastu-siddhi ke praman-rup man bhi wahi hain. Shri Harivansh hi jeevan, anant sukh evam atul sampatti hain. Main ' haribansh' in varno ki balhari jaata hoon. Jagat ke kalyan-paraayan Shri Harivansh ki jai ho. Main inki hi charan-sharan mein hoon. Tha 970 shri sevakbani-tika ( pancham prakaran )
tippni: (a) haririti akshar bij rishi Vanshi sakti su ansa nakh Sikh sundar dhyan dhari jai jai Shri Harivansh ॥ is dohe mein sebak-vani mala-mantra ke paanch ango- bij, rishi, shakti, chhand aur devta ka varnan hai. Pehle bataya gaya hai ki “Harivansh' yah “bij' hai, Vanshi swayam rishi hain, jo sammohan ka karya karti hain. Is mala mantr kau shakti hai apni anshi Rupa swamini Shri Radha ke nitya-vihar parikar mein pravesh kara dena arthat Shri Harivansh naam hi sadhak ko us sthal tak phucha sakta hai; anya nahi. Iske devta hain- swayam Shri Harivansh, jinke nakh shikh dhyan karne ka adesh he aur is mantr ka chhand bhi “Harivansh' chaturakshar hai. Yahan yah shanka swabhavic hai ki sevak vani mala-mantra ke panchon agyon ka samahar ek hi vastu mein kyon hai? Arthat jo bij hai wahin rishi hai wahi shakti wahi devta aur wahi chhand bhi. Iska uttar sankshep mein itna hi hai ki Shri Harivansh hi sarwamay hain, sarwateet hain aur sarwavyapak tatv hain. Bij rup hain, rishi rup hain, shakti hain, chhand hain aur devta bhi hain- ataev yahan useeke rup ko prakt karne ke liye Shri sevakji ne yah rahasyatmak vakya kaha hai. (aa) atam Harivansh pragat parmanand Shri Harivansh praman manam; Shri Harivansh hi pragat parmanandamay atma tatv hain, iska praman hai anubhav se duba hua apna man. Jisne nitya-vihar keli ka anubhav karke yah jaan liya hai ki Shri Harivansh hi ki yah sampurn 'leela hai, uske liye swayam uska man praman hai. Is hit tatv ka ghate Swami Srihitdas ji maharaj 9791 anubhav kiye bina koi mahmmahim bhi tark ya vivad se ise nahi jaan sakta. Shrihit shruvdasji ne kaha hai- agam nigam ki kaun chalavai. Mahavishnu ke man nahin avai ॥ yah ras gayau Shri Harivansh. Mukta kaun chune binu hansa mahavishnu ise kyon nahi jaan sakte? Kyonki ve mahmmahim hain. | jaise koi rajya mantri rajmahlon -ranivas mein pravesh pane ka anadhikari hai kintu ek sukumari kanya tuchch hokar bhi adhikarini hai. Dusre jaise ret mein mile chini ke kanon ko laghu chinti le sakti hai par hathi nahi pa sakta aur bhi jaise machhli aur mendhak kamal ke nikat ke nivasi hain par che uska parag nahi le sakte parag to bhramar hi le sakta hai. Isi prakaar sukumari kanya, chinti aur bhramar ki tarah sharanagat anannya hitdharmi hi is ras ka adhikari hai, brahma shivadik nahi. Is vishwas ke liye praman hai apna anubhavyukta man. Mul- (3) saran nirapak pad ramit, sakal asubh-subh nansa det sahaj nischal bhagti, jai jai Shri Harivansh ॥ shriharibans mudit man lobham, reehrivansh vachan var sobha shriharibans kay krit karam, Shri Harivansh trisuddha vicharam ॥ puja Harivansh naam parmarath, shriharibans vivek pari dhiraj Harivansh virad bal beeraj, Shri Harivansh abhadr har trisna Harivansh sujas ras lampt, Shri Harivansh karm karnam