॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 7.3

shrihit ras-riti prakaran

sughar sundar sumati sarvagya |
santat sahaj sada sadan, saghan-kunj sukh-punj barsat |
sourabh saras suman chain, sajjit sain sachu rang harshat ||
keli vishad anand rasad, beli badhat nit yam |
theli nigam-mag pag subhag, kheli kunwar-var vam ||
सुघर सुन्दर सुमति सर्वज्ञ।
संतत सहज सदा सदन, सघन-कुंज सुख-पुंज बरसत।
सौरभ सरस सुमन चैन, सज्जित सैन सचु रंग हरषत॥
केलि विशद आनन्द रसद, बेलि बढ़त नित याम।
ठेलि निगम-मग पग सुभग, खेलि कुँवर-वर वाम॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

shri Priyalal ki yah jodi nitya aur swabhavic hone ke saath-saath sughar, sundar, param chatur evam sarvagya bhi hai. Sada-sarvda saghan kunj-sadan mein sukh samuh ki varsha karti rahti hai. [us saghan kunj sadan mein] saras sugantha yukt komal pushpo se sajjit shayya par virajman‌ hokar yugal-kishor anand-sukh prapt karke harshit hote hain. Yugal-kishor ki keli pavitra evam rasdayak hai aur jaha anand rupi lata nitya hi udit hoti aur badhti rahti hai. Jaha yuvati-shiromani sundari Shri Radha evam kunwar var Shri Lalji ved-marg ki mariyada ko charnonse thel arthat‌ tiraskrit kar nirantar krida paraayan rahte hain.

tippni: ““theli nigam mag pag subhag 'kheli kunwar var lam'' 194 shri sebakwani-tika ( saptam‌ prakaran ) ched-path ko charnon se thelne ka arth hai ched maryadaon ki upeksha. Bhav yah ki yugal-kishor ka divya vihar nitya evam vedon se pare hai. Yah ved-vilakshan krida hai, jo sarv tantra swatantra hai. Is vihar mein vedon ki maryadaon ka bandhan to hoga hi kyon? Vedon ki to waha tak pahunch hi nahi hai; yatha- alakshyam radhakhyam nikhil nigmaih ~ Shri radhasudhanidhi arthat‌ * Shri Radha samasth vedon se alakshit tatv hai. '” is chhand mein yugal-kishor ki ras-rupta ka nirdesh kiya ja raha hai-