naval nagri naval yuvraj |
nav-nav van ghan kreedant, nav nikunj vilsant sarvas |
nav-nav rati nit-nit badhat, nayau neh nav rang nayau ras ||
nav vilas kal has nav, saras madhur mridu bain |
nav kishor Harivansh hit, su naval-naval sukh chain ||
नवल नागरी नवल युवराज।
नव-नव वन घन क्रीड़ंत, नव निकुंज विलसंत सर्वस।
नव-नव रति नित-नित बढ़त, नयौ नेह नव रंग नयौ रस॥
नव विलास कल हास नव, सरस मधुर मृदु बैन।
नव किशोर हरिवंश हित, सु नवल-नवल सुख चैन॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
naval nagri Shri Radha evam nav-yuvraj , shrikrishna is nitya nav-van shrivindavan mein jo atyant saghan hai, anek prakaar ki kreedaen karte hain aur nav-nikunj mein paraspat ke sarwastha dan purvak sukh vilas karte hain. Donon mein nitya-nitya nai-nai rati-priti ki vridhi hoti, naya sneh, naya hi anand rang aur naya hi vilas, nav-nav hasyadi ka madhury, aur saras vachnavli ka prakash hota rahta hai. Shrihit Harivansh ke ye nav yugal kishor nitya hi naye-naye sukh evam anand ka aswadan karte rahte hain. Is antim chhand mein ras vihar ki sarwoprita ke saath madhury evam rasanand ka varnan karte hain- Swami Srihitdas ji maharaj 199 mul- chaval-naval sukh chainn, ainn apune aap basa nigam lok marjad, bhanji kreedant rang rasa. Surat prasang nisank, karat joi-joi bhavat mana