॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 1.8

shrihit jas vilas prakaran

nirjal sajal sarovar bhay | ukhte vrikshani pallav naye ||
daye sakal sukh sabni kaun ||
asan shayan sukh nit-nit naye | ann sukal chahun dishi bhay |
gaye ashubh sab vishv ke ||
malechchha sakal hari jas vistarhin | param lalit bani uchcharhin |
karhin praja palan sabai ||
apni-apni ruchi bas vas | jas varnaun Harivansh vilas |
Shri harivanshhi gai haun ||
निर्जल सजल सरोवर भये। उखटे वृक्षनि पल्लव नये॥
दये सकल सुख सबनि कौं॥
असन शयन सुख नित-नित नये। अन्न सुकाल चहूँ दिशि भये।
गये अशुभ सब विश्व के॥
मलेच्छ सकल हरि जस विस्तरहिं।परम ललित बानी उच्चरहिं।
करहिं प्रजा पालन सबै॥
अपनी-अपनी रुचि बस वास। जस वरनौं हरिवंश विलास।
श्रीहरिवंशहि गाइ हौं॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

(aapke prakt hote hi) bahut kal ke sukhe hue sarovar bhi jal purn ho gaye, ukthe hue shushk vrikshon mein bhi naye-naye pallav (patte) aa gaye. Is tarah manon sampurn vishv mein anand chhaa gaya. Sabko ab bhojan, shayan aadi ke nitya-nitya naye-naye sukh milne lage. Sab ke liye sarvatra sarwakal ann sulabh ho gaya-kami na rahi. Adhik kya, sare vishv ke mano amangal hi nasht ho gaye. Sabhi mlechchha log (apne adharmic acharno ko chhod‌ kar) Shrihari ke yash ka vistar karne lage aur unka vihaar saras evam premay ho gaya, (mano unhone bhi apni swabhav janny kathorta tyag di) aur (daya evam sneh purvak putravat‌ apni) praja ka palan karne lage. Praja apni apni ruchi ke avas sthano mein (ab nirbhay rup se) rahne lagi. (jinke janm hote hi yah sab anand mangal ho gaya) main (un param prabhavshali) Shri Harivansh ka yashogan karta hoon aur shri Harivansh ka hi sarvatra gaan karunga. is chhand mein “mlechchha sakal....se lekar.. Praja palan sabai. '' yahan tak ki panktiyon mein us samay ke shashak vargon ke atyachar, utpeedan aur swechchhacharita ki ek jhalak hai ki ve pehle bhakti-bhav ke virodhi, kathor-bhashi aur praja-varg ko sada satane wale the. Logon ko sukh purvak unke apne gharo mein bhi nahi rahne dete the, is karan praja sada ann, vastr, bhojan se abhavagrasta rahti thi. Ab aapke prakt hote hi un mlechchhon ne apna janm-jat swabhav bhi tyag diya aur ve apne viparit acharno ko chhodkar sajjan ho gaye; iseeliye phir unke rajya mein praja ann, vastr, bhaujan, shayan aadi se sukhi ho gayo. Bhutla ke manon ashubh chale gaye aur sabhi log swatantrata purvak apne gharo me nirbhay rup se nivas karne lage. Chai mlechchha raja log bhi priti purvak praja ka palan karne lage. Mul- (9) alhin sakal jan apne dharm, brahman sakal karhin shat‌ karma bharma sabni kau bhajiyau ॥ chhuti gayi kalijug ki riti, nit-nit nav-nav hot sameeti. Priti paraspat ati badi ॥ pragat hot aisi vidhi bhai, sab bhav janit apda gaddi