॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 7.9

shrihit ras-riti prakaran

naval-naval sukh chain, ain aapne apu bas |
nigam lok maryad, bhanji kreedant rang ras ||
surat-prasang nishank karat, joi-joi bhavat man |
lalit ang chali bhangi-bhai lajit su kok gan ||
adbhut bihar Harivansh hit, nirakhi dasi sevak jiyat |
vistarat,sunat,gavat rasik, su nit-nit leela-ras piyat || ||
8. Shrihit anannya te
नवल-नवल सुख चैन, ऐन आपने आपु बस।
निगम लोक मर्याद, भंजि क्रीड़ंत रंग रस॥
सुरत-प्रसंग निशंक करत, जोइ-जोइ भावत मन।
ललित अंग चलि भंगि-भाइ लज्जित सु कोक गन॥
अद्भुत बिहार हरिवंश हित, निरखि दासि सेवक जियत।
विस्तरत,सुनत,गावत रसिक, सु नित-नित लीला-रस पियत॥॥
8. श्रीहित अनन्य टे

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

naval yugal-kishor nitya nav-nav sukh evam anand ke bhandar hain. Ve keval apne aapke adhin hain, un par kisi aur (ved-shastr-mariyada aadi) ka koi adhikar ya shasan nahi hai at: ye yugalkishor samasth ved evam lok ki maryadaon ko todtadu kar apne swachchhanda anand vihar ki krida karte rahte hain. Krida ke avsar par surat-prasanga aadi 'jo-jo kuch inke man aata hai-inhe accha lagta hai, nihsankoch bhav se wahi wahi karte hain. Aapke ango ke lalitya, chanchalya, bhangima evam hav-bhavon ko dekhkar kok-kalao ke samuh bhi lajate hain. Shri sevakji kahte hain ki yah nihshanka evam lok-vedatit, adbhut vihar shrihit- Harivansh ka hi hai, arthat‌ unke dwara praktit hai ya unka hi apna rup hai; jiska darshan karke dasiyan (sakhiya, sahachriyan, saheliyan evam sevikaen sabhi) apna jeevan dharan karti hain. Sakhiya isi ras ka vistar karti, gaan karti, shravan karti aur isi leela ras ka nirantar pan karti hain. 200 shri sebakbani-tika ( saptam‌ prakaran )

tippni: “adbhut vihar Harivansh hit'' Shri Harivansh ka yah hitmay vihar sabse ad‌bhut hai- vilakshan hai. Iska aashay hai ki yah vihar karm, gyan, yog, sankhya, meemansa aadi se pare aur shreshth to hai hi baram bhakti se bhi shreshth aur vilakshan hai. Navdha ke upranta vraj ki rati hai aur yah ras vihar is rati se bhi shreshth prem-lakshna hai. Dusre vilakshan kahne ka yah bhav hai ki yah rasmay vihar lok evam ved ki maryadaon se upar-pare hai. Shri harivanshchandra ke dwara prakashit yah vihar lok vedatit hai; atah adbhut hai. Shrihit harivanshchandra ne jiska prakash kiya us vihar ki vilakshanta ka prakash karte hue shrihit dhruvdas ji ne kaha hai- nigam brahm parsat nahi jo ras sabte dur. Pragat kiyau harivansju rasikan jeevan-moor ॥ nigam nir mili ek bhayau bhajan doodh sam seta harivans hans nyarau kiyau pragat jagat ke het ॥ ॥ jai jai Shri Harivansh ॥ ka Shri dit anannya tek (ashtam‌ prakaran) purv prichay- prem apni pratham avastha mein kisi naam-rup vishesh ke ashrayatwa mein prakt hokar phir antim avastha mein vyapak ho jaata hai. Use prathmik avastha mein ekantik sthirata ke liye ananyata ki avshyakta hai. Avshyakta kyon hai? Yah ekantik ananyata to uska sahaj swabhav hota hai. Premi ko apne premaspad ki hi baten priy lagtin hain, wah use hi dekhna chahta aur keval usi se sambandha rakhna chahta hai. Us premi ke liye apne priyatam ke siwai sara sansaar (kuch nahi hai) shunya ke barabar hai. Astu, is prakaran mein sevakji ne aisi hi anannya nishtha ka prakashan kiya hai. Aapne purv prakarnon mein Shri Harivansh tatv ka spashteekran karke yah bata diya ki Shri harivanshchandra keval acharya nahi; apitu paraatpar prem tatv hain jo sarwavyapak ke saath ekdesheey, char, achar, sthul, sukshm aur karan se bhi pare hain. Yahi Shri Priya hain, yahi priyatam shrikrishna, yahi Vrindavan hain aur yahi sahachrigan; arthat‌ nitya vihar ke divya parikar ke mul karan aap hi hain. In prem rup Shri haribanshchandra ki hi aradhna ki avshyakta bhi unhone prakt ki. Saath-saath us upasna ki shaili aadi ka bhi nirupan kiya. Usi shaili-nirupan ke kram mein ananyata bhi ek vishay hai. Prem ras ka sadhak aapne isht tatv ke prati anannya ho jay, keval usi mein doob jay, apni buddhi ko bahumukhi na bankar ekmukhi _ 02 aa sebakwani-tika ( ashtam‌, prakarna ) baname. Yah kis prakaar hoga? Iske liye unhone swayam apni nishtha ka prakaar aur phal varnan karke upasako mein ek vishwas ki lahar chaida kar di hai. Sevak ji ki anubhav purn chap ke saath-saath unki *“Harivansh duhai''-shpath, is prakaran ki hi kya is sampurn granth "ki atma hai. Is vishwas aur anubhav ke sambal ke hi sahare sadhak ka path purn hoga. Is sampurn prakaran mein ananyata sambandhi prayah aath baton par vichar kiya gaya hai che baten is prakaar hain-samasth karm- dharm devopasna aadi ke tyagpurwak Shri Harivansh upasna, is upasna mein jati-panti, kool dharm, vidhi nishedh aadi ko mahatva na dena, Shri Harivansh naam ki anannya nishtha, anannya bhaven ras murti Shri radhavallamlal ke kaishor ras mein hi nishtha; man-apmanadi mein sambhav; Shri haribanshchandra dwara varnit keli ras mein hi nishtha; avtaron se uthkar avtari tatv Shri yadhavallabh mein hi sthirata, aur sabke mul Shri harivanshchandra ke naam aur ras mein priti. Is prakaar yah sampurn prakaran sadhak ke chitt ko sab or se samet kar ekantik bana dene ka adesh deta hai. Ab pratham chhand mein Shri sebakji apni nishtha ke vichar se sarvasv ke tiraskaar purvak apni isht-upasta ka lakshya prakashit karte hain- mul (9) karm dharm kou karahu ved vidhi, kou bahuvidhi devatni upasi. "kou teerath nap gyan dhyan brat, aru kod nirgun brahma upasi ॥ bi Srihitdas ji maharaj 203