jati panti kul-karm-dharm vrat, sanskriti-hetu avidya nasi |
sevak-riti pratiti priti hit, vidhi-nishedh shrrinkhla vinasi ||
ab joi kahi karen ham soi, aysu liye chalain nij dasi |
man-kram-vachan trishuddh sakal mat, ham shrihit Harivansh upasi ||
जाति पाँति कुल-कर्म-धर्म व्रत, संसृति-हेतु अविद्या नासी।
सेवक-रीति प्रतीति प्रीति हित, विधि-निषेध श्रृंखला विनासी॥
अब जोई कही करैं हम सोई, आयसु लिये चलैं निज दासी।
मन-क्रम-वचन त्रिशुद्ध सकल मत, हम श्रीहित हरिवंश उपासी॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
hamne shrihit Harivansh upasna ko sweekar karke apni jati, panti, kulochit karm, dharm, vrat aur aavagaman ke mul karan avidya ka vinash kar diya hai. Sevak ki (meri) apni pratoti aur priti to hit mein hai aur iseese hamne vedokta vidhi aur nishedhon ki shrrinkhla ka bhanjan kar diya hai. Shrihit haribanshchandra ne jo kuch kaha hai, ham wahi-wahi karte aur un nijdasi ki hi agyaon ka palan karte hain. Ham man, vachan evam karm se trishuddh hokar samasth maton ke sar shrihit harivanshchandra ki upasna karte hain-unke upasak hain. Tishpani- (1) sanskriti hetu avidya- jati, panti, kul karm, dharm, vrat, aadi aavagaman ke hetu hone se avidya rup hain kyonki ye uprokta dharm shuddh paramarth nahi hain tatha pratyek ahankriti ka utpadak hai ataev sabhi sanskriti (aavagaman) ke karan hain. Haj ( 2) ab joi kahi karen ham soi- Shri hitacharya charan ne aapne ras-granth-shrihit chaurasi evam Shri Radha sudha nidhi aadi granthon mein rasik upasak ke liye jin karmo ka adesh diya hai, ham usi ka palan karte hain. Un agyao ke palan karte samay vidhi nishedh, brat, sanyam, niyam, dharm aadi kisi ki | bhi hamen parwa nahi. Ham to keval nij dasi ( shrihit sajni) ki agyanusar hi chalna jante hain. Mul- (3) jo Harivansh kau naam sunavai, tan-man-pran tasu ballihari. Jo haribansh-upasak seve, sada senam taake charan vichari ॥ jo Harivansh-gira jas gavai, sarwasu daiun tasu par jari