॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sevak Vani — pad 8.12

shrihit anannya tek prakaran

naam araddha harai agh-punj, jagatta karai hari naam bardai |
so Harivansh samet sampuran, premi ananyani kaun sukhdai ||
Shri Harivansh kahant-sunant chhin-chhin kal vritha nahin jai |
jo Harivansh tajaun, bhajaun aurhin, tau mohi Shri Harivansh duhai ||
नाम अरद्ध हरै अघ-पुंज, जगत्त करै हरि नाम बड़ाई।
सो हरिवंश समेत संपूरण, प्रेमी अनन्यनि कौं सुखदाई॥
श्रीहरिवंश कहंत-सुनंत छिन-छिन काल वृथा नहिं जाई।
जो हरिवंश तजौं, भजौं औरहिं, तौ मोहि श्रीहरिवंश दुहाई॥

arth / vyakhya

bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)

  • Shri Harivansh' naam ka keval aadha ' hari' hi samasth paap-samuhon 'ka nash karne mein samarth hai isliye vishv is “hari” naam ka yashogan D Srihitdas ji maharaj 223 karta hai. Kintu bahi “hari' naam bansh ke saath milkar * haribansh' is sampurn rup mein anannya premion ke liye sukhdayak banta hai keval 'hari' adhe rup mein nahi. Is Shri Harivansh naam ka kathan- shravan karte karate kshan bhar samay bhi vritha nahi jaata, sab sarthak hota hai; ataev main nirantar keval isi ka bhajan karta hoon, yadi is shrohrivansh naam ko chhodkar kisi aur ka bhajan karu to mujhe shriharibans ko hi duhai hai.