gupt priti kau bhang, sang prachur ati dekhiyat |
nahinn upjat rang, Shri Harivansh-kripa bina ||
गुप्त प्रीति कौ भंग, संग प्रचुर अति देखियत।
नाहिंन उपजत रंग, श्रीहरिवंश-कृपा बिना॥
arth / vyakhya
bhavaarth (Swami shri hitdas ji — shrihit path-prdarshni tika)
prayah dekha jaata hai ki sang ( asakti) ki prachurta ( adhikta) se gupt priti ka vinash (bhang) ho hi jaata hai. Ataev Shri Harivansh kripa ke abhav mein [yah vinash hone par] anand (rang) ki utpatti nahi ho pati.
tippni: prem atyant aikantik ras hai. Sang-saath kimba asaktiyon ki adhikta mein priti ki hani ho jana swabhavic hai. Priti purn rup se ek prempatra ke prati hoti hai kintu jaha anekon isht hon waha priti kaha? Upasna bhakti bhale ho sakti hai priti nahi. Aur jaha anekon ke prati prem hai vastut upasna ka vyapar hai, waha rang-anand bhi kaise prakt ho sakta hai? Sul- (32