॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bahar rahkar bhi Vrindavan dham vas ka phal kaise paen?/Vrindavan mahima

▶ YouTube

shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.

pura pravachan

yadi koi bahar Vrindavan dham ke bahar rah raha hai anya pradeshon mein aur uske hriday mein ye baat hai ki ham bahut samay tak Vrindavan vas to nahi kar payenge aisa ham maya se jakde hue hain. To hamen jo Vrindavan vasi ko labh milega wo hamen kaise mile? Kyonki hamara phir to jeevan vyast ho jaega. Hamen akhand Vrindavan vas to milne wala nahi. Kyonki ham itne moh mein fase hue hain. Itna ham sansaar mein satyatwa buddhi kiye hue hain. Ghar parivaar mein itna mahatva buddhi kiye hue hain ki ham vairagya karke Vrindavan dham mein akhand vas karen.

itni to ham mein samarth dikh nahi rahi to ham kya karen? Bole dad kinchit Vrindavan tante jo Vrindavan mein sharir dhari hai jo bhi jeev hai yadi Vrindavan mein unki thodi si bhi seva karne ko pa jae aa to sarv bhagwat vibhute bhagi so jagta par kitni adbhut baat kah rahe shri patr ye Vrindavan ke jo pakshi hai Vrindavan ki ye jo gay pashu aadi ye jo Vrindavan ke bandar aadi yahan ke jo brajvasi jan yahan jo vas karne wale sant mahatma jo bhi gasth jan jo bhi hai yadi kahin yahan kisi ke bhi aapke dwara dhan ann vastr vas aadi ki seva ban jae aapse to shripad Prabuddhanand ji kah rahe hain ki wo bhagwan ki samasth vibhutiyon ko tript karne wala ban jaata hai.

itni usmen samarth aa jati hai, wo aisa maha mahimamay wala ban jaata hai ki jaise gita mein vibhutiyon ka varnan kiya hai na un vibhutiyon ko bhi anand pradan karne wali vibhuti wo swayam ban jaata hai. Aisa wo maha vibhuti swaroop ho jaata hai. Jo Vrindavan vasiyon ki seva karta hai. Yadyapi wo Vrindavan vas nahi kar pa raha. Akhand Vrindavan vas nahi kar pa raha. Par Vrindavan ke pakshi ko, Vrindavan ke pashu ko, Vrindavan ke bandron ko, Vrindavan ke jo brajvasi jan hai jo grihasth jan aake rahe aur aise grihasth jan hai ki bhagwat charcha sunkar bhagwat prem ke liye lalayit hokar shri dham Vrindavan vas kar rahe hain.

unke paas sam vyvasthaye nahi hai. Aapko bhagwan ne yadi dhan diya hai aur aap ye labh lena chahte Vrindavan vas ka to chahe wo grihasth ho chahe is bhumi mein vas karne wale ke liye ye mariyada nahi ki virakti ki hi seva karni chahiye yahan vanwasi hai sab koi bhi ho stri ho purush ho grihasth ho virakta ho wo sab vanwasi hai is van mein vas karne wale har vanwasi ki seva ka phal ek hi hoga chahe wo grahasti ki seva kare chahe wo bandar ki seva kare chahe wo vyakti ki seva kare chahe gay ki seva kare chahe kisi ki bhi wo Vrindavan vasi hai.

is baat ki baat yahan hai. Koi bhi ho agar usko avshyakta hai aur aapko bhagwan ne diya hai dhan aadi, anna aadi, vastr aadi. Aisi samarth di hai aur aap param labh prapt karna chahte hain to moh aur lobh ka tyag karke Vrindavan vasiyon ke vas ki vyvastha bhojan ki vyvastha vastr ki vyvastha unko pyar do unke prati apnapan karo unki seva karo to jitni bhi vibhutiya bhagwan ki hai wo sab aapse tript ho jaengi aur aap maha vibhuti swaroop ho jaenge maha vibhuti swaroop arthat bina Vrindavan vas kiye bhi Vrindavan vas ka phal aapko prapt ho jaega.

kitni sahaj baat hai. Kanch ke badle mein mani mil rahi hai. Kanch ke badle mein kahan sansarik tuchch dhan kahan sansarik ann vastr aadi aur kahan priyal ka kripa prasad keval brajvasyon ki seva se jaise maa ko prasann karna ho to uske bete ko dular karne lago kuch usko khila pila do. To maa apne aap bolne lage. Aise maa se baat karne ki tumhari samarth nahi hogi. Lekin jab aap uske beta uska beta ja raha daud ke usko taki do dular karo aur kuch bhi dene do maa apne aap baat kar legi.

aap bhai aisa kyon kar rahe ho? Rahne do bachchha wo apne aap se prem bhari baat karne lagegi. Aise hi hamare priyal ke ladle hain Vrindavan vasi. Chahe wo bandar ho, chahe wo pashu pakshi ho, chahe wo grahasti ho, chahe wo virakti ho, chahe brajvasi ho, chahe bahar ka vasi ho. Jo yahan is bhumi par vas kar rahe hain wo hamari ladli ke ladle hain. Pyari ji ne kripa ki tab aake vas kar rahe hain. In Vrindavan vasiyon ki koi bhi sharir se seva, ann se seva, vastr se seva, dhan se seva, vas ki seva yadi aisa karta hai to hamare ladli lal us par kripalu hote hain.

aur jo Vrindavan vas ka phal hai wahi phal usko prapt hota hai. Ye dekho kitni badhiya baat shri prabhu dayanand ji maharaj ne

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi