kitne hi bade pad par ho, savdhaan ho jao. Yamuna tat satsang (30-06-26)
pujya maharaj ji dwara rasik vani ke pad ki vyakhya — upar video mein sunen.
pura pravachan
jai jai shri sakal ang gunheen ho tako jatan na koi ek kishori kripa te jo kachu hoi so hoe sakal ang pad vimurkh nath mukh naam ki oth la hai hai tulsi pratiti ek prabhu murat kripa bhay hai sab lakshan se hin hoon samasth gunon se hin hoon par ek vishwas hai ki shri ji badi kripalu hai wo ham par kripa karenge usi kripa kripa bal se hamko naam mila hai aur ham koi sadhan aise samarth nahi dekhte jo hamen bhagwan se mila de ki ye hai sankhya yog to hamara mukhya pradhan sadhan raha gyan yog ashtang yog mein bhi gyan yog ka milan raha hai karm yog ko bhi jante hain aur bhakti yog mein to hai hi.
aisa nahi ki sadhan pakshon ko jante nahi hai bas sab karke aur sab jaan ke ab ek baat keval ai hai. Prabhu murti kripamay hai. Unki kripa se hamara jeevan unke layak ho sakta hai. Hamare mein samarth nahi ki chidanandmay swaroop bhagwan ke darshan ka adhikar aur unki seva ka adhikar aur unke ham layak ho nahi sakal ang gunheen ho tako yatan na koi ek kishori kripa te jo kachu hoe so hoe so kripa ati ati sulabh nahi tako kaun upay charan sharan Harivansh ki sahje bane bana kishori kripa ka bhi adhikar tabhi prapt hota hai jab Harivansh mahaprabhu kripa kar de hamen lagta hai ham sab par shri ji ki bahut kripa hai param pavan mahmmahim dev durlabh shiv vandit Vrindavan dham aur sarv samarthyamay nij sahachari yamuna ji aur unke bilkul samip baithkar ke ham bhagwat charcha sune ye hamare upar asim kripa hai.
manushya janm hi mila hai bhagwat prapti ke liye. Yahan ki unnati adhyatmik unnati hai. Laukik unnati ka koi mahatva nahi. Aap yahan ke bahut bade pad par pratishtit hue. Rajkaj sambhala aur bhagwan se vimurkh rahe to mare to aap narak hi jaoge. Aapke liye viman thodi aayega ki aap itne bade pad mein the to aapko viman dekho chuk ho jae to Devraj indra pad se bhi durgati ho jae yahan ke chakravarti samrat maharaj nahush bahut yagya ki aur bahut punya kiya uske pratap se wo tribhuvan pati Devraj indra pad par baithe the aur jab indra ban gaye to vasna to bahut prabal hoti hai na.
to unko laga jab indra ban gaye to indra ki patni indrani hamari patni honi chahiye. Bhutpurwa indra bhutpurwa indra ki indrani hamari patni honi chahiye. Kyonki main vartman ka indra hoon. Unhone suchna bhezi. Wo apne Gurudev Brihaspati ki sharan mein gayi aur kaha Gurudev yah nich raja hamare dharm ko bhrasht karna chahta hai. Aap hi hamari raksha kar sakte ho. Unhone kaha is samay wah tribhuvan pati pad par virajman hai aur meri agyaa bhi wah nahi manega kyonki agar agyaa manna hota to aisi soch hi kyon karta hamse pooch ke agyaa lekar ke aisi baat karta manmane aacharan kar raha hai to agyaa bhi nahi manega hamen to ishare se samjh lena hai ki wo meri agyaa nahi manega ab tum hi upay karo jisse tum bach bach jao usko samay do to samay diya ab wo jab samay aaya to kam ki veg vritti phir Brihaspati ki sharan mein gayi unhone kaha bhagwan wo to samay bhi aa gaya
to unhone kaha usko bolo ki dev rishiyon ko palki mein jot karke lao to ham tumhen sweekar karenge suchna pahunchi ki brahm rishiyon ko palki mein jot jo jagat vandneey brahm rishi hai ab wo tribhuvan pati hai jo adesh karega palan karna padega ab brahm rishi mein dev rishi sab tapasya purn sab bhagwat prapt mahapurush kuch age lage kuch piche lage sanskrit mein tej chalne ko kahte hain sarp sarp sarp sarp mane tej chalo tej chalo jaldi chalo [nak se ki jane wali aawaz] aur wo brahm rishi tan patta doodh ghas khakar ke rahne wale ek lakh tumhari samne jo rishi the aur wo rishi Durvasa the unhone mudkar ke kaha tu ham brahm rishiyon ke upar shasan karna chahta ja sarp yoni ko prapt ho ja to sidhe Devraj indra pad se ajgar ki yoni ko prapt hue.
socho tribhuvan pati kitna bada pad hai. Tino loko ka Swami aur karm bigad gaya to ajgar ki yoni ko prapt hota hai. To bhagwan se vimurkh hokar ham bharat ke koi bahut bade paddhikari ho aur bhagwan se vimurkh ho aur manwani aacharan karte ho to hamari durgati pakki hai na. To manushya janm laukik unnati ke liye nahi mila hai. Yah to apne aap bhagya ke vasata hoti jaegi. Manushya ka prayas adhyatmik hona chahiye. Adhyatmik ke saath-saath agar laukik unnati hai to wo sarahneey hai. Keval laukik unnati hai, adhyatmik nahi hai to uska chand varsho mahatva hai.
20 varsh, 30 varsh. Iske baad jab aap padharoge yahan se to aapko durgati bhogni padegi. Isliye manushya jeevan ka param lakshya hai bhagwat prapti. Bhagwat prapti anya sadhno se kalikaal mein hona bada kathin hai. Jaise ashtang yog. Teen ghante siddhasan aur Padmasan mein bina hile dule aise hue bina teen ghante jo baith sakta hai jo 90 pranayam 30 30 teen bar mein 90 pranayam rechak kumbhk purak purak kumbhk rechak jo apni swas ko par control apne sharir par control aur chitt vritti nirodhasa yoga chitt vritti ko paramatma mein wo bhagwan ko prapt kar sakta hai.
bole itne logon mein kaun hai aisa ek bhi ki teen ghante bina hile Padmasan aur siddhasan mein baith jae aur 90 pranayam karke apni pran vayu ka sansodhan karen aur [nak se ki jane wali aawaz] chitt ko paramatma mein sthit karen. Hai na kathin? Aur usse jo siddhiya prapt hoti hai wah mayam mein hoti hai. Dusre ki baat sun lena, akash mein ud jana, kai rup dharan kar lena. Badi siddhiya yog ke dwara prapt hoti hai. Gyan goswami ji ne gyan ke liye likha hai gyan panth kripan dhara parat khag lage nahi bara gyan ka marg jo hai wo talwar ki dhara girne mein der nahi lagti aur gira to gaya gyan ko deepak kaha gaya hai aur bujha to bujh gaya gyan marg mein bhi aham brahmasam main brahm hoon to sarvam khalmidam brahm phir sab brahm hai.
brahm ke siva kinchin matra kahin koi anubhuti na hona ye gyan ka hai. Kaha aisa bada kathin hai brahm gyan prapt karna. Ab karm yog agar ham kisi ko pani bhi pilate hain to hamare man mein ek baat rahti hai ki ye dhanyavaad to de karm yog kaise safal ho sakta hai? Karm yog to tabhi safal ho sakta hai jab nishkam bhav se bilkul koi jankari nahi. Jaise ham aapki seva ki to aaj ke baad ham jante bhi nahi ki aap kaun hai. Yah nahi ki aapki seva ki to kal ki asha rakhen ki aap palat kar hamare liye kuch anukul karen to karm yog bhi kathin ho raha hai.
ab [nak se ki jane wali aawaz] ek baat rah gayi hai naam jap. Ismen apvitra ho, pavitra ho, sakam ho, nishkam ho, jawan ho, budhe ho, stri ho, purush ho, padhe ho, na padhe ho, kaise bhi ho, kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utar hi para. Yadi naam jap nahi karoge to anya koi sadhno mein kalikaal mein aisa bharosa kam hai ki wo hamen bhagwat prapti kara de. Bhagwan ka naam garaj raha hai. Naam sankirtan yas sarv paap pranashan apne putr ko bulaya narayan to param pad ki prapti hui. Ham bar-bar kah rahe hain aap narayan narayan narayan kah ke narayan ko pukaroge to aapko param pad ki prapti nahi hogi.
isiliye ham kahte hain keval Radha Radha Radha Radha ucharan karo. Dekho tumhari sari badhae sari chintaen mit jaengi aur sab anukulta aapko prapt ho jaegi. Haan, yah jarur dhyan rakhna hai ki jaise rog badha hua hai to kabhi-kabhi kadvi dawa di jati hai. To ham logon ke andar manmani acharno ka dher hai. Dher kitne paap kiye hain. Unko nasht karne ke liye thoda dand bhi milega, pratikultaa bhi milegi, rog bhi aaenge, apman bhi aayega. Par yadi naam jap karoge to ye aapko parast nahi kar payenge. Ye aapko nicha nahi dikha payenge.
mahatmaon ke anubhav ki baat hai. Aaj tak jitne unchai par mahatma pahunche wo sab bhajan karne wale pahunche hain. Chahe jaise ho yadi naam jap kar rahe ho. To aap shri ji tak pakka pahunch jaoge. Ye naam kaise papi kyon na ho. Harivansh naam jo le to alak ladti rijh ke mahal khavasi de Harivansh naam dhruv kahat hi badhe anand beli prem rang aur jagamge jugal naval ras keli shri Priya pritam ke prem ras leela mein pahunchne ka adhikar ye naam [gahri sans lene ki aawaz] mahatmaon ke sabke anubhav hai. Sab bade-bade mahatmaon ke anubhav hain ki jisne naam jap shuru kar liya uska param mangal ho gaya.
Radha Baba to kahte hain aapne Radha Krishna bola ek bar jeevan mein to aapke mangal mahal ki niv rakh gayi. Sukh samudra mein dubne ke liye aapki tayyari prarambh ho gayi. Aapka shubh mangal shuru ho gaya kyonki bhagwan ka naam aapne japna shuru kar diya. Bhai ji se hanuman prasad podar das ji ne kaha main apne jeevan ki pratham aur antim anubhuti kahta hoon ki tum naam jap karo. Anya sadhan bane to theek hai na bane to chodo. Naam jap karo. Naam jap karne se nischit tumhare upar bhagwan ki kripa hogi aur bhagwan ki prapti hogi.
jab bhagwan mil jaate to aur sab kamnao ki purti ki kya baat hai. Vartman mein vasnaon ka itna khel badh gaya hai ki naam jap mein priti hona bada kathin ho raha hai. Kyonki naam jap mein bhi man lagne ke liye thodi pavitra ahar ki sang ki yah to chahiye na. Aaj hamara bhojan dushit hota chala ja raha hai. Hotlon mein, partiyon mein, bas keval jawan ke liye log pashu ka mans khate hain. Aaj itni buddhi bhrasht hoti ja rahi ki koi yahi nahi samjh raha ki madira pina paap hai. Sharab pina paap hai. Ye to samjha hi nahi ja raha hai.
ab to ek swagat mein iska prayog ho gaya hai. Matlab narak jane ke pure ke pure sab chans hai. Aise mein bhagwan ke naam mein priti kaise ho? Yadi satsang mil jae aur hath purvak naam jap kiya jae aur naam bal se in gande acharno ko chhod diya jae to sab kamnao ki purti ho jaegi. Bhagwan ki bhi prapti ho jaegi. Yah vishay shakti matlab bhogon mein priti yah jab tak badhegi tab tak naam mitha nahi lagega. Jaise prashn hota hai ki naam japna accha nahi lagta. To bhogon mein priti hone ke karan naam jap mitha nahi lagta.
to vishay shakti badh jane ke karan naam mitha nahi lagta. Jisko pitt badhta hai to usmen mishri bhi khavao to kadvi lagne lagti hai. Jab bahut badh jati hai pitt badh jaata hai aur agar usi mishri ko roz pao niyam se to wo pitt ka saman karke mithi lagne lagegi. Aise yadi naam kadva lag raha hai aur niyam purvak naam jap kiya jae to mitha lagne lagega. [nak se ki jane wali aawaz] kal satsang mein niyam diya tha ki 10,000 naam sab log jap karenge. 10,000 naam tumhen bahut lagta hai 10,000 naam Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha chalte phirte uthte to ek mata ji akar boli ham to badi seva hai hamare paas ham to 10,000 kaise jap payenge naam?
10,000 naam keval aap baat karte ho. 10,000 bahut hota hai kya? Are 10,000 to aise chalte phirte ho jaata hai. Aise counter aap le aur aap apni sarwis ko ja rahe ho jaate samay ate samay khali samay 10,000 naam 10,000 naam yadi aap roz japoge to aapko khud chamatkar samjh mein ane lagega ki aapka jeevan kidhar ja raha hai. Jab tak aap bhagwan ki sharan mein nahi honge. Naam jap nahi karenge tab tak aapki vishay shakti nasht nahi hogi aur vishay shakti hi hamare janm maran ka hetu hai. Bhogon mein jo priti hai yahi hamare janm maran ka hetu hai.
to vishyan vishwat taj shastr kahta hai vish ke saman vishyon ka tyag kar do. Yah bhajan se hota hai. Aap jitna bhajan karenge to aapko ye sansaar jhutha sa lagne lagega. Aap dekho bhajan karke dekho. Yah rupya, paisa, bhog, samgri, nana prakaar ki pad pratishtha yah sab achchhi nahi lagegi kyonki jhuthi hai. Hamen din mein saikadon bar baat yad aati hai. Jaise kisi ko koi priyjan yad aata hai. Aise hamen saikadon bar yad aati hai. Marna hai. Marna hai. Ab ye sutra hamko kahin lagne nahi deta. Kya hai sab natak hamara marna hai yar jana hai yahan se jana hai kab swas tut gayi kuch pata nahi aur jab swas tuti to sab bakheda yahi chhuta ab jo bhajan kiya wo saath gaya nahi to kuch nahi kaisa yar desh hai yahan se sharir bhi chhuda diya aur aise desh mein ham prem karen iska naam mrityu lok hai maroge sab hamari baat thodi kadvi lagegi sab maroge aaj nahi to kal sab chhutega aaj nahi to kal hosh mein ho jao gande aacharan chhod do aur bhagwan ka bhajan karte hue tumhen jo sansarik kam mila hai wo theek se imandari se karo aur use bhagwan ko samarpit kar do krishnarpanamastuu tumhara jeevan safal ho jaega.
yah bahut badi bhul hai jo ham manushya jeevan mein sharab pite hain, mans khate, gande aacharan karte hain. Manmani jhooth bolte hain, beimani karte hain. Dusre ki hinsa karte hain. Bahut bahut bhul bahut badi bhul karte hain. Ab nishani ab na nash ho. Aaj takiya ab jeevan mein nahi karenge. Jaise sone ke ghade mein jahr bhara ho to kya aap use pan karenge? Kya? Aise yah botlon mein jahr hai jo tumhare sharir ko nasht karta hai. Tumhari buddhi ko bhrasht karta hai. Dekh lo Bhishma jaise mahatma jab sir saiya par baithe updesh kar rahe hain yudhishthir ko to Draupadi ji ne kaha yah gyan us samay kahan gaya tha jab sabha mein mujhe nirvastro kiya ja raha tha.
to kaha beti Duryodhan ka apvitra ann khane se hamari buddhi bhrasht ho gayi thi. Aaj chha mahina ho gaye banon ke lage se khun nikal gaya. Ab main pavitra ho gaya hoon. Ab jo prashn karoge sahi uttar milega. Agar ann dushit ho to buddhi bhrasht ho jati. Itne bade mahapurush bol rahe hain. Aur dushit padaarth khaoge to tumhari buddhi shuddh rahegi. Isliye bhai ye ganda bhojan, ganda sang, ganda pey padaarth inka tyag kijiye aur jeevan ka anand kya hai? Dekho anand agar aap anubhav karna chaho ham apna udaharan isliye dete hain ki pratyaksham kim prmanam yadi pratyaksh mein ho to zyada accha praman samjh mein aata hai.
hriday nachta rahta hai anand se. Kyon? Ki prabhu ki hai to kya tumhare jeevan mein sankat nahi aayega? Ham aapko suchna de rahe hain ki 13 varsh ki avastha se bhagwan ke marg mein to hamari ye dasha hai. Ye durdasha ka kshetra hai sansaar. Kya tumhare sharir mein rog nahi aayega? Kya tumhare jeevan mein vipatti nahi aayegi? Agar aayegi to phir kya karoge? Na bhagwan ka aashray hai na bhajan bal hai phir kya karoge phir to traahimaam mach jaega hai hai mach jaega abhi suna ki cancer hai to bas wahi dimaag mein chhaa jaega ab to mara ab to cancer nana prakaar ki vipattiyan rog is sansaar mein faile isliye unse bachne ke liye Radha Radha Radha Radha ham bache hue hain tum kya samjhte ho ham bache hue hain hamen koi pareshani isliye ham sabse prarthna karte hain.
koi nasha na karo. Koi ganda aacharan mat karo. Koi ghuskhori se rupya mat lo. Wo tumhare sharir tumhare parivaar ko bada nuksan pahunchaega. Aur jitna ban sake naam jap karo. Naam jap ka niyam le lo. Aajkal to anguthi ki tarah pahne raho. Counter dikhane ki bhi zaroorat nahi. Agar mala ki samarth nahi hai tangne ki to counter le lo bhai anguthi ki tarah use pahne aur chal raha hai Radha Radha Radha Radha khub naam jap karo
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- shri Radha kripalu albeli | Bhori Sakhi ke pad | Prem Ki Peer | Jamming Session 109 — Immerse yourself in the bliss of Prem Ki Peer. A soulful unplugged jam session inspired by the teachings of Shri Hit Premanand Ji Maharaj. Sambandhi video: YouTube mul lekh:…
- mera durbhagya | Bhori Sakhi ke pad | Prem Ki Peer | Jamming Session 108 — Immerse yourself in the bliss of Prem Ki Peer. A soulful unplugged jam session inspired by the teachings of Shri Hit Premanand Ji Maharaj. Sambandhi video: YouTube mul lekh:…
- virah ki pida | Bhori Sakhi ke pad | Prem Ki Peer | Jamming Session 107 — Immerse yourself in the bliss of Prem Ki Peer. A soulful unplugged jam session inspired by the teachings of Shri Hit Premanand Ji Maharaj. Sambandhi video: YouTube mul lekh:…
- ab to rijh jao Radha | Bhori Sakhi ke pad | Prem Ki Peer | Jamming Session 106 — Immerse yourself in the bliss of Prem Ki Peer. A soulful unplugged jam session inspired by the teachings of Shri Hit Premanand Ji Maharaj. Sambandhi video: YouTube mul lekh:…
- apna bana lo Radha | Bhori Sakhi ke pad | Prem Ki Peer | Jamming Session 105 — Immerse yourself in the bliss of Prem Ki Peer. A soulful unplugged jam session inspired by the teachings of Shri Hit Premanand Ji Maharaj. Sambandhi video: YouTube mul lekh:…
- kab daya karogi ladili? | Bhori Sakhi ke pad | Prem Ki Peer | Jamming Session 104 — Immerse yourself in the bliss of Prem Ki Peer. A soulful unplugged jam session inspired by the teachings of Shri Hit Premanand Ji Maharaj. Sambandhi video: YouTube mul lekh:…