antkaal ki chetavni. Yamuna tat satsang (02-07-26)
shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.
pura pravachan
jai jai shri hit manushya jeevan mein sabse badi bhul hamari [gala saaf karne ki aawaz] ham prabhu ko jis kshan jis minute jis samay bisar diya vismaran kar diya sabse badi bhul pachtana padega jab yah hamara akhiri samay sharir ka antim samay aata hai us samay jeevan bhar ke kiye hue karmon ke parinaam samne ate hain aur uske anusaar uski akriti nischit ho jati hai ki kutta banega, bhut banega, panchhi banega, kida banega, kya banega? Usi samay ab bada pachatava hota hai us samay ki bhagwan ka agar smaran kar liye hote to hamari baat ban jati.
to Harivansh mahaprabhu apni kasam dekar kahte hain meri so bhaiya Krishna gun sancho. Tumhen hamari kasam hai. Tum Krishna ke gunon ka gaan karo. Bhagwan ki leela katha ka gaan karo. Manan karo, chintan karo, naam jap karo. Yah kahte hue savdhani baratne ki baat kah rahe hain. Kutsit vad vikar par dhan sunakh mand par banch he mand buddhi is amulya jeevan mein chhah vikaro par vijay prapt kar lo. D vikar jit anag akama kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar, kam, kamna, krodh, dves, lobh, dhan aur bhogon ka, moh, parivaar ka, ahankaar, karta bhav, matsarta, irshya ye mere se age badhta ja raha hai.
agar yah dves aadi dosh rahe to sadhna karne par bhi anand ka anubhav nahi hoga. Isliye mahaprabhu kahte hain kutsit vad vikarah gandi baat bolna band karo. Jaban ko pavitra rakho. Asat mat bolo. Droh ashleel mithya bhashan ye hamari jaban ko apvitra kar dete hain. Vani pavitra rakho. Chhah vikaro par nazar rakho ki kahin hamara paramarth rupi dhan cura to nahi rahe hain. Anag nishpap ho jao. Manushya sharir mein isi mein paap nasht kar sakte. Nahi bhogna padega. Pyare abhi samjh mein nahi aa raha kyonki abhi bhog aae nahi hai dand rup se jab dand rup se aaenge to aisi vyakulta aisi pareshani ki aap soch nahi sakte ho soch nahi sakte ho bade-bade rishi munio ko bhogna para to aap logon to soch lo kya ho to isliye mahaprabhu kah rahe meri kasam ae parlok sakal sukh pavat tum vishwas karo isliye kasam dekar ke kah rahe hain ki is lok aur parlok ke sare sukh tumhen prapt ho jaenge yadi aap bhagwan ka naam jap karoge bhagwan ke gunon ka gayan karoge manig punj brajapti chhanat hit Harivansh kar hi kanch kimti kimti vastuon ko jitne bhi sansaar ke log parlok ke hain wo sab mayamay hai inse bhagwan ki tulna thodi ho sakti hai bhagwan ko chhodkar ke kah rahe tai kabahu bhal kaha na koi gunja grah paras mani koi paras mani ko chhodkar koi gunja uthave kanchan ko chhodkar koi kanch grahan kare.
kamdhenu ke doodh ko chhodkar koi chaval ka dhavan peeve. Aise bhagwan ko chhodkar sansaar ko bhogna hai. Jis samay koi ye niyam le leta hai ki main ganda ahar nahi karunga. Galat aacharan nahi karunga. Shastr aur santo ke anusaar chaluga aur naam jap karunga. To kuch samay baad ho sakta hai thoda samay zyada lag jae paap nasht hone mein. Uske andar anand prakt hota hai. Jaise vishyon ke sevan mein kshnik anand hota hai. Bhagwan ke anand ko kaha gaya akhand. Raat din wah anand bana rahta hai. Jab bhagwanand jagrit hota hai tab pashchatap hota hai.
o itna jeevan barbad kar diya. Agar jante ki yah sukh hai to bachpan se bhagwan mein lag jaate. Itna parmanand ka jab anubhav hota hai to usko ek pashchatap hota hai. Kitne din vyarth gaye. Agar hamen satsang pehle mil jaata to main bhagwat anand mein doob jaata. To jab bhajan ka anand milta hai tab lagta hai yar jeevan hamara vyarth chala gaya. Bhagwat anand utpann hote hi manushya mein lakshan aa jaate hain. Koi bhi dwaand us par prabhav nahi dal pata. Garmi, sardi, man, apman, dukh, sukh, labh, hani, jai, parajay yah usko prabhavit nahi kar pate.
kisi ka sang us par rang nahi chadha sakta. Koi bhi vastu dekhkar usko kamna nahi ho sakti ki ye vastu mujhe mil jae. Sukhdukh mein saman bhav. Aur kitna bhi koi use satae wo kshma hi karega. Kabhi uski ninda chugali ya usko kisi tarah dand dene ki bhavna ye lakshan hai jab bhagwanand prakt hota hai. Bhagwanand prakt hote hi brahma ka bhi bhog tuchch nazar ane lagta hai. Pad hai. Jaise yahan mukhyamantri pad phir pradhanmantri pad phir rashtrapati pad phir pure vishv ka tribhuvan ka sarvshresht pad indra pad phir uske upar Prajapati pad prajaptiyon ke bhi upar pad parmesthi pad jise brahma ka pad kahte hain.
jab Bhagvdanand milta hai to brahmaadik ke bhog sab visham lagat tah narayan braj chandra ki lagan lagi hai ja jab bhagwan ka anand milta hai to brahma ke bhi bhog tuchch nazar ane lagte hain jab tak ham vishyon ke moh mein padkar andhe ho rahe hain aur datkar naam jap nahi kar rahe tab tak ham soch bhi nahi sakte ki bhagwan nd kise kahte hain? Abhi aap vichar karke dekho bhagwanand kise kahte hain? To aapko samjh mein nahi bhagan kyon? Vishay bhogon mein rat man buddhi hai aur datkar naam jap nahi hai to bhagwanand ki anubhuti bhagwanand jab prakt hoga sab anand fike ho jaenge.
sab pad fike ho jaenge. Aur ye janm maran ka chakra chhut jaega. Ye dukh, ye chinta, ye shok, ye bhay, ye abhav, ye kamna, ye vishad ye sab nasht ho jaenge. Bhagwanand satya hai. Sansaar ke bhog asatya hai. Satya ko pane ke liye ek bar kamal kas lo. Jeevan safal ho jaega. Bhogon ke pane ke liye to anant janm hamne laga diye. Hath kuch nahi laga. Is janm mein bhi maroge to hath kuch nahi lagega. Aise hi jaata hai. Koi kuch le nahi jaata. Apne apne karm le jaata hai. Paap karm ya punya karm ya bhajan vishay rupi ye chamkeele padaarth aise hain ki ek taraf bhagwan khade ho, ek taraf vishay khade ho to ham bhagwan ki taraf pith kar lenge, vishay ki taraf mukh kar lenge.
itna bada akarshan hai. Guru kripa patr satsangi shastr swadhyay koi aisa hota hai jo in mayajnik bhogon ki taraf pith karke bhagwan ki taraf chale. Jisne vishyon ka moh chhod diya wo jit gaya. Aur jisne vishyon ka moh pakar liya wo har gaya. Harne ka matlab phir naya janm punarp jannam punarp maranam are bada kasht hai yar abhi aap logon ko anubhav mein nahi aa raha hai isliye bada kasht hai apne pratiphal use jhal rahe hain na tab lag raha hai yar ye log kitni bhul kar rahe hain ye svasth hokar bhajan nahi kar rahe bhajan karke paap karm ko bhasm kar do tumhara jeevan anandmay ho jaega aur ye paap karm jis samay mein upasthit hota pida pratiphal bhay pratiphal mrityu ka yah karm isliye naam jap karke bhagwan ka bhajan karke apne in karmon ko nasht kar do jo dukh dene wale hain.
to kah do aapne kyon nasht nahi kar diya? Kyonki mujhe bhagwat prapti karni hai. Mujhe in dukho se nahi bachna hai. Mujhe in dukho ko bhogna hai aur bhagwat prem prapt karke bhagwan ke dham jana hai. Mujhe is aavagaman ke chakkar mein nahi phasna. Ye sona bech ke kanch nahi khareedna. Brahmastra ka prayog machchar marne ke liye nahi karna. Yah jo bhajan hai yah Brahmastra hai. Sidhe kal par prhar karo aur samjh jae aae sharan te darat na kal dar kal se bhi upar kal vijay banne ke liye yah dand jo praarabdh bhog hai unko sant jan bhogte hain aur bhajan bal se bhagwan ko prapt hote hain.
jis vastu mein hamara kam chal jae utne par hi apna adhikar rakhen. Bahut vistarwad buddhi ko na baname. Yah bhi mera yah bhi mera yah bhi mera mera mera karte chale gaye. Kuch nahi raha. Na Ravan sam abhimani. Hirna Kashyap sanvar dani khan vibhav ki khan jagat mein kuch din ke mehman bhajle shri bhagwan jagat mein kuch din ke mehman jis din se yah tum niyam le loge ki naam jap hamara na chhute usi din se tumhara param mangal shuru ho gaya. Hamari sabse prarthna hai har satsang har sadhu mahatma har shastr ka ek hi uddeshya hai bhagwat chintan bhagwat bhajan banne lage aap log kisi bhi tarah kaise bhi shuru karo counter se naam jap karna shuru karo gintin se shuru karo phir gintin rahit bhajan shuru ho jaata hai kaun gine har samay har shwas chal raha hai kaun gine par jab tak naam jap nahi karoge tab tak aap anand ko prapt nahi honge aur sabse badi bhayanak chij aa rahi mrityu wo hamare sharir ko hamare sare vaibhav ko sab kuch chhuda degi phir ham kis yoni mein jaenge pata nahi isliye yat karoshi yadasnasi yaj hosh dadas y tapas kaute ta darpanam bahut badhiya sadhna bata rahe hain bhagwan yat karush mane jo kuch bhi karo jo kuch karne ka matlab paap karm nahi kyonki bhagwan ko paap karm arpit nahi kiye jaate agar bhagwan ko paap karm arpit karoge to kai guna badhkar ke aapko milega chahe paap karm chahe punya karm ye bank ke locker mein phate jute nahi rakhe jaate sona chandi rakha jaata ye galat kam gande aacharan ye bhagwan ko arpit nahi kiye jaate.
krishnapanmastu yah wo karm kiye jaate hain jo shastr sammat samaj sammat aur dharm sammat hote hain. Bhagwat prapti ka upay bata rahe hain bhagwan yat karoshi jo bhi karte ho nokri kisani vyapar jo bhi aap karte ho padhate ho doctor ho nyayadhish ho jo bhi ho wakil ho jo bhi ho pehle apne karm ko dekho dharm purvak hai ki nahi phir utne ghante jitne ghante karm kiye usko bhagwan ko samarpit kar do aath ghante nokri ki ek minute hath jodo aur he bhagwan yah aath ghante ka kiya hua karm krishnapanmastu bhagwat arpanmastu aapko arpit kar diya iska phal hoga bhagwat prapti yadyap kam sansari hai par aapne use bhagwat arvan mastu kar diya to wo aapko bhagvatik phal dega yahi khas baat hai yat karo karoshi bhagwan ne yah nahi kaha ki yahi karo.
bole yat karoshi jo kar rahe ho wo mujhe arpit karo. Kya jaata hai yar? Char ghante panch ghante mein dhyan aaya. Panch ghante ko Krishna arpanmastu kar diya. Do ghante ko dhyan aaya. Do ghante mein Krishna arpanmastu kar diya. Yadassi jo khao bina bhagwan ko arpit kiye hue mat pao. Dekh lo tumhara kalyan ho jaega. Agar ghar mein thakur ji virajman hai to bhog lagao pehle unko. Yadi bahar kahin hotel aadi mein pa rahe ho to ek minute ke liye ruk jao. Thal samne ave hath jodo aur bhagwan ka smaran karte hue mansik bhog lagao.
he thakur ji he kripa sindhu aapki kripa se jaisa bhojan aaya hai aap ise sweekar karen aur phir unki jai bolkar Radha vallabh lal ki jai aur phir pa lijiye lekin wo bhojan mans rahit pyaaj lahsun rahit aisa agar pavitra bhojan hai to bhagwan ko bhog lagega anytha nahi to yat karosi jo karte ho wah arvan karo yadassi jo khate ho wo bhagwan ko pani bhi piyo to bhagwan ka naam lekar piyo. Radha Radha Radha Radha jal bhi piyo to bhagwan ko arpit karke piyo. Yajhoshi jo kuch pavitra karya karte ho. Teerthatan gaye dham aae jo bhi ye sab yagya ke antargat aata hai.
wo bhagwan ko arpit karo. Jaise Vrindavan aaya Vrindavan se bahar ja rahe ho to hath joda Vrindavan ko pranam kiya he Vrindavan dham jo sharir se man se vachan se aparadh bane wo kshma karo aur jitne ghante ham aap mein rahe jo bhajan kiya wo sab aapko samarpit karta hoon krishnarpanamastuu dadasiyat jo dan dete ho kapda latta bhojan rupya paisa aushadhi jo kisi ko dete ho usmen pehle bhagwan ko dekho ki marij ke rup mein bhagwan hai. Garib ke andar bhi bhagwan hai. Yah jo bhukha pyasa baitha hai iske andar bhi bhagwan hai.
aur phir use bhojan do, vastr do. Jo bhi doge dan aur us dan ko krishnapanmastu bhagwan ko arpit kar do. Y tapasyashi jo tapasya karte ho jaise maun rahna garmi sahna sardi sahna upvas karna vrat karna jo bhi aap bhagwan ke liye kasht sahte ho y tapas wo krishnapanmastu kar do kaute tat krishpanam he arjun yah sab jo mere ko arpit karte hue mera smaran karta hai wo mere ko prapt hota hai jo karo bhagwan ko arpit karo. Jo khao bhagwan ko arpit karke pao. Jo aap tirth yatan aadi karo bhagwan ko arpit karo.
jo dan karo bhagwan ko arpit karo. Jo bhajan sadhan mein kasht sahte ho wo bhagwan ko arpit karo aur naam jap karo. Isi se tumhara param mangal ho jaega. Aap vishwas kar lijiye. Agar naam jap nahi karoge sadhan nahi karoge to pashu ki tarah jeevan vyatit ho jaega. Kya tum khas baat kya bhogte ho? Kya bhogte ho? Jo tum bhog bhog rahe ho wo pashu bhi bhog rahe hain. Jaisa tumko achhche-achhche padaarth khane mein aata hai unko apne bhojan mein anand aata hai. Jaisa tumhen apne bachchhe pyare aise unko apne bachchhe pyare hain.
jaise tum bachchhe paida karte ho waise wo bachchhe paida karte ho. Jaise tum nind lete ho waise wo nind lete hain. Antar kya rah gaya? Antar yah hai ki ham sadhna karke bhagwat prapti kar sakte hain. Ham sadhna karke uttam loko ko prapt ho sakte hain. Isliye y karosi yadnasi yajosi dadas y tapaste tat darpanam sab karm bhagwan ko arpit karte hue naam jap karo
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- savdhaan! Bhagwat prapti ke marg mein kabhi na karen ye bhul | yamuna tat satsang (08-07-26) — jai jai shri hit shastron mein bhagwat prapti ke liye parhit karna atyant avashyak bataya gaya hai. Parhit [gala saaf karne ki aawaz] dusron ka upkar karna. Ismen sabse bada parhit hai ham kisi…
- man ko vash mein karne ka achuk upay. Yamuna tat satsang (07-07-26) — jai jai shri Harivansh iska mrityu lok naam isiliye rakha gaya hai ki yahan vastu vyakti sthan pad pratishtha sab kuch nasht hoga. Jara thodi der vichar karo aap jismen zindagi puri laga diye aapko…
- bhagwan ka aisa naam jo pehle kabhi nahi suna hoga! | yamuna tat satsang (06-07-26) — bhagwan ne gita ji mein kaha anitya mashukham lok mam prapt bhajasmam maya ke chhalave mein anitya bhogon mein dikhavti sukho mein samay nasht mat karo bhagwan kah rahe hain prapt bhajas mam is lok mein jo…
- agar dhani banna hai, to yah sun lo. Yamuna tat satsang (05-07-26) — jai jai shri hit. Jo chahat hai nitya sukh ar man ko vishram hit dhruv hit so bhajat raho pal pal shyama Shyam yadi nitya khush rahna chahte ho aandit rahna chahte ho aur sada sanatan aandit rahna chahte…
- jab ek jyotishi ne khud ka hi bhavishya dekha, to kya hua?. Yamuna tat satsang (04-07-26) — jai jai shri Harivansh jai bhagwan ki maya se ham fas gaye. Hamara jo swaroop hai wah avinashi hai. Sukhmay hai. Anandmay hai. Nitya hai. Ek hai. Ab ham anekta mein anityata mein nashvan sharir mein phas gaye. Isi…
- tumhen pata bhi nahi chalega aur bhagwat-prapti ho jaegi. Yamuna tat satsang (03-07-26) — jai jai shri Harivansh man manas ka mat prana bhagwan ne kaha Uddhav ji se ki main gopiyon ke liye isliye virah yukt rahta hoon ki wo man manas ka mat prana mad takt dahika kaha bhagwan mein man lagana…