॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

aap man ko chalate hai ya man aapko chalata hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

yah sharir ek rath hai. Is rath mein baitha hua atma iska rathi hai. Buddhi iski sarathi hai. Man ligam hai aur indriyan ghode hain. Jo buddhiman sarathi ho ghodo ki ligam kas ke indriyon ko theek bhagwat marg mein chalave to manjil mil jae. Par ab sharab piye driver ho to pura parivaar hi nasht ho jaega. Wo to aisi jagah bhida dega ja karke. To yah buddhi is samay sharab ke nashe mein hai. Yah jo moh madira hai, agyaan hai, vishyon mein sukh hai. Dekho kitna pagal aadmi hai. Apne thode sukh ke liye dusre ko jala deta hai, mar deta hai, kaat deta hai, hinsa kar kitna pagal aadmi hai.

kitni uski buddhi bhrasht ho gayi hai. Buddhi agar driver sahi na bhul karke aisi galti nahi. Pahli to baat jaise hamen apna sharir priy aise har jeev ko sharir priy. Bole aaj murga aaj bakra aaj kya vybhchar mein utre to apne hi sharir jaise dusre shariron ko jala rahe hain kaat rahe hain mar rahe hain ye sab kya hai pagal log hain nashe mein hai buddhi unki ab inko paaglon ko jante ho pagal kaha Yamraj Puri hai aise paaglon ki sahi dawa jo hai Yampuri mein hoti hai wahan koi jugad nahi bachne ka bhog keval dukh bhogna

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi