॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jis dhan ke liye paap kiya, wahi vinash ban gaya

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ek garib ghar ki ladki dusron ke ghar mein pocha lagane ki usko seva mili. Dhani mani log aise rakh lete hain. Wo pure ghar ko pocha lagana safai karna to sab dhire-dhire jab kai varsh purana koi sevak ho jaata hai to usse chhupav khatm ho jaata hai. Wo almariyon ko dekha ki bahut swarn hai paisa aisa aur usne kisi purush se mitrata kar li. Ab us purush ne kaha ki ham tumhen byah karke bahut achchhi vyvastha mein rakenge. Par itna dhan ham kahan se layenge? Wo chup rahe. Usne kaha dhan to jahan ham kam karti bahut hai wahan.

usne kaha agar tum sahyog karo to hamare dost hain. Milkar ke wahan chori kar len. Theek hai. Samay nischit ho gaya kyonki wo adhik samay seva mein rahti to sabko pata hai kab kaun kahan kaise pura pakka karke aur choron ko andar khol karke uska mitra bhi aur wo char chor bhi uske saath andar gaye. Un logon ne chheena jhapti karte samay patni ki hatya pati ki hatya aur chhota balak tha aath varsh ka wo chupchap almari mein chhup gaya jake ab wo jo sevika ladki thi usne kaha aapne to keval chori ki baat ki thi ye baat ham nahi bardast hamare malik ko mar diya ham sochti thi paisa cura loge bhag chalenge apna ghar grahasti basaenge shanti se rahenge ab un charon ko yah bhay sata gaya ki ye kahin sarkar ko suchit na kar de pulis aadmi ko to jo uska mitra tha usko gaadi mein bithe lenge ab yahan rahna theek nahi hai.

chalo aur raste mein apne mitron se kaha hamara hissa dijiye aur ladki ko le jaiye. Un logon ne ladki ke saath galat kiya use mar dala. Iske baad jab ghar mein yah baat khuli to bachchhe ne sab bata di. Wo kam karne wali uski bhi jab shav mili to wo jankari ki charon wo jail gaye. Ladki ki mrityu hui. Kaun shanti se rah paya? Adharm ke dwara koi shanti se rah pata hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi