॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

azadi ke naam par apni zindgi barbad mat karo!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

koi aisa karya na karen jo mata-pita se nazar milakar ham unke samne apni baat na kah sake. Jo aajkal bachchhe udandta karte hain wah phir apna pavitra apna dharm apna vinay apna shil ye kho baithe hain. Hamen lagta hai ki yah sab nahi hona chahiye. Bachchon ko koi bhi aisi cheshta nahi karni chahiye jo mata-pita ke pratikul ho. To koi kah sakta hai hamare mata-pita bahut bure hain. Aisa kah sakta hai. Man lo koi kah sakta hai kabhi aisa ki ham unke anukul chale tab to bahut bure. Aap anukul chalo. Unke andar baitha prabhu aapka mangal karega.

unki baat mat dekho. Unke andar jo baitha hua prabhu hai. Ab mata-pita jaise bachchon ko shasan mein lete ho kahte hamen swatantrata pyari hai. Aap apne aur ham se kuch aise ham uttar sune hain. Wo swatantrata unko jante ho kahan le jati. Vishyon ki gulami mein aur aisa nasht karti ki phir wo mata-pita ke samne apni baat bhi nahi kah sakte. Isliye kabhi aisi galti mat karna, savdhaan rahna.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi