॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

paap karne wala hi nahi, karwane wala bhi doshi hai!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

teen ko paap ka hissa barabar milta hai. Ek prerak karo aisa aur ek karta jisne kiya aur ek anumodan bahut badhiya kiya. Tino ko barabar dand milega. Paap ka barabar dand milega. To ab aisa nahi hai ki koi hamko prerit kare ham paap karm karen. Bahut savdhani rakhna chahiye. Jeevan nishpap bhi to ho sakta hai. Man lo aap grihasth mein ho to aisi savdhani rakho ki garb hi na ho. Sanyam se raho. Jab aapko bachchha nahi chahiye to sanyam se raho. Ab bematlab mein aap jeev hatya karoge to phir uska dand to bhogna padega na.

chahe bahar aa jae to bachchha hai. Garb mein hai to bachchha hai to bachchha hai hi na. Usko marne ka matlab usko zyada paap lagta hai. Jaise bachchha hai, vridh hai, sota hua koi inko zyada paap lagta hai. Kyonki jaise bachchha hai, asmarth hai, vridh hai, asmarth hai. Sota hua purush ya stri asmarth hai. Aap us samay marne ka jo to bahut bada paap lagta hai. To yah ghar grihasthiyon mein prayah aparadh to ban hi jaata hai. Koi birla aisa hoga jo thoda vivekvan padha likha to aise sanyam se aise savdhani se ki garb hi na rahe.

hamen nahi chahiye to garb hi na rahe. Aur agar phir rah gaya to bhagwan ki ichchha se koi aayega rashtrabhakta aayega koi samaj sevak aayega chahe bachchi aae chahe bachchha ave ane do kya pareshani aur jab yah hai ki hamen nahi chahiye to aapko savdhaan rahna grahasti mein savdhaan raho bahut se aise upay hain jinke dwara aap surakshit rah sakte hain hatya bhi nahi hogi aur aapka grihasth dharm bhi chalega aga.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi