॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

paap ki kamai se sukh nahi, keval ashanti milti hai!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

adharm ke dwara prapt kiye hue dhan se tum kabhi sukh shanti prapt nahi kar sakte. Yadi dharm purvak kamaya hua dhan hai aur man mein aata hai ki parivaar ke sukh ke liye naya makan le dete hain. Le lena chahiye. Parivaar ko tirth yatan karana hai ya kahin rishte nate mein jana ek gaadi le lete hain. Paisa hai kar lena chahiye. Apni vilasita ke liye dhan ka durpayog na karen. Parivaar ke sukh ke nimit se kiya hua wo bhajan mana jaega. Lekin jahan lakshya hai andar ke chintan ka. Apni vilasita ka dekho kuch log hote hain dhan kamkar vilasita mein jaise madirpan kar rahe hain.

parae striyon ke prati galat paise ka prayog kar rahe hain aur nana prakaar ke anya jo wo shabd hai kabhi-kabhi kisi sharab pine wale bhai se pucha ki aap kitne ki sharab pi jaate hain? 100 200 ke to pi jaate honge. Bole hazar ke pi jaate hain. Ham kaha ab batao agar ₹1000 ka aap phal phool sabji lekar ghar jao aur sabko pavao to kitna parivaar sukhi hoga. Aaj ke baad kasam khao ki sharab nahi piyenge. To dhan ka wo durpayog hai aur ye dhan ka sadupyog hai. To us dhan ka sadupyog karte hue parivaar ko bhagwat bhav se mante hue naam jap kiya jae to hamari bhakti mein koi badha nahi

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi