॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab tak swarth hai, tabhi tak sansaar ka pyar hai!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

koi aisa pyar kare jo sirf mujhe pyar kare. Apne liye mujhe na pyar kare. Mere liye mujhe pyar kare. Aisa koi tribhuvan mein nahi hai. Hai bhala koi? Wah keval bhagwan hai. Agar koi hamse pyar karta hai to ham uske layak hain kahin na kahin. Tabhi wo hamse pyar karta hai. Jis din uske layak nahi rah jaenge us din wo hamari taraf dekhega bhi nahi. Koi bhi ho. Ye anubhav ki baat kah raha hoon. Sansaar ke har kshetra ko bhagwan ne dikha diya. Usi anubhav se bolte hain. Ekmatra bhagwan aise hain jo har sthiti mein tumhen pyar karenge.

aur sansaar ka koi pyar karne wala tab tak pyar karega jab tak kuch swarth ki purti ho rahi aur jis din uske swarth ki purti nahi hui ya tumse accha mil gaya tumhen chhod dega. Sansaar ka pyar jhutha sansaar ka sukh jhutha sacchidanand bhagwan ka sukh sukh hai isliye dhairya purvak chalo man ko satsang ki baton se samjhakar bujhakar pralobhan dekar anand ka use bhagwan ki taraf lagao

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi