॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ek galat aadat, barbad ho sakta hai pura jeevan!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

koi vyasan hamare jeevan mein na hone pave. Chahe wah putr ho chahe putri. Yah baat bilkul samjh lo. Har vyasan hamare jeevan ko nash ki taraf le jaega. Jaise aajkal skulon mein bachchhe drugs lene lage, dhuan phunkne lage, bidi cigret le koi vyasan na kare. Koi charitraheenta ke aacharan na karen aur bhagwan ka naam smaran karta rahe to bhagwan is sansaar se vijay nischit dila denge. Aur jo hamari kamnayen hain unki purti ho jaegi. Jab hamari buddhi shuddh rahegi to hamara smaran pavitra rahega. Smaran pavitra rahega to jo ham padhenge hamen yad ho jaega.

ham kabhi phayl hi nahi honge. Jab hamara charitraheenta hoti hai. Nana prakaar ke vishay ghus jaate hain to hamari smaran shakti nasht ho jati hai. Kama sanjayte krodha krodha smriti vibhrama smriti bhransa buddhi nasho buddhi na prannasati to isliye jeevan ka keval itna hi uddeshya nahi ki ham nokri pesha karke rupya kamae bhog bhoge aur mar jae. Jeevan ka uddeshya bhagwan ki prapti karna. Adhyatma purvak jeena. Isliye charit pavan rakhen. Koi vyasan na karen. Bhagwat naam ki aradhna karen aur mata-pita ko bhagwan samjhkar unki agyaa aur unki seva mein rahe.

agar itna sweekar kar le to sab kuch ban jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi