॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

dusron ki baton se apna man dukhi mat karo!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji jeevan ke sukh dukh dusron ke vihaar par nirbhar ho jaate hain. Is paristhiti mein maharaj ji sam kaise raha? Nahi nahi ye galat hai bahut agyani hai jo dusron ke prati apne dukh sukh ko ki dusra jaisa karta hai agar wo hamare saath anukul vihaar karta hai to main sukhi pratikul vihaar karta hai dukhi wo to ghor agyani hai sukh dukh paramatma ke charnarvind ke ashrit hokar logon ke ashrit hokar nahi log to jine nahi denge bhai kab log jine dete hain kisko kab chain se chalne dete hain kaise bhi chalo wo to aapko dukhi karenge chahe jitna paropkar karo aapko parinaam mein dukh milega chahe jitna aap hit karo parinaam mein aapko gali dega.

sansaar ka swaroop aisa hai. Ham logon ke diye hue sukh dukh se sukhi dukhi na ho. Ham paramatma ke chintan se sukhi rahe aur dukh ko paramatma ke chintan ke prabhav se sah le. Aise hamen banna chahiye. Vihaar mein to bahut kadva hai vihaar. Ismen to kitna bhi aapko parinaam mein dukh hi milega. Sansaar aisa hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi