॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

naam japta hoon, phir bhi saikil se hi chalta hoon!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji main Ram naam jap karta hoon par phir bhi saikil se hi chal raha hoon. Dhanvan nahi ho pa raha. Abhi kitna naam jap kar pa rahe ho ki abhi tumhari laukik drishti bani hui hai. Accha kisi aise desh mein bheja jae jahan aapko makan mile, stri mile, putr mile, mitra mile, sab kuch mila lekin wahan se jab apne desh ke liye lautoge to sab chhin liya jaega. Bolo rahna pasand karoge aise desh mein? Wo yah desh hai mrityu lok yahan sab kuch chhin liya jaata hai jab mrityu aati hai saath kya jaata hai naam rupi dhan usi baat ko Kabir das ji kah rahe Kabira sab jag nirdhna kyonki jab jaega to sab chhin liya jaega dhanvant nahi koi to dhanvant kaun hai dhanvant soi janie jake Ram naam dhan hoe kyonki jab wo jaega to bhagwan ka naam rupi dhan lekar jaega use koi chhin nahi sakta bhagwan ka bhakt ho sakta hai uski charan paduka bhi na ho.

ho sakta hai uske bhojan ki bhi samasya ho. Lekin wo sabse bada dhani brahma bhi uske saman nahi dhani hai jitna naam japak dhani hai. Agar naam japak in laukik vastuon ki chah karega to purn ho jaegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi