॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya anjane mein kiye papon ka hisaab bhi hota hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji jo anjane mein hue paap aacharan uska is janm ke dwara kaise dur kiya jae ki agla anjana aur jana ismen antar hota hai. Jaise ham ja rahe hain achanak pair ke niche chinti mar gayi. Ham chah nahi rahe the. Anjane mein ho gaya. Jaise ham gaadi mein ja rahe hain. Kitne jeev niche gaadi ke pahie ke niche mar rahe hain. Ham chah nahi rahe lekin hamen yatra karni hai to ab chalna hi padega. Chhote-mote jeev usmen mar jaate hain. Jaise kisan fawda chala raha hai. Wo chah nahi raha par koi jeev kat jaata hai.

ise kahte hain anjane ka paap. To ye jo anjane ka paap hai ye swapna aadi mein nasht ho jaata hai. Jaise swapna mein bhayanak aapko pida di ja rahi hai. Aap bhayanak dard se yukt hai aur jage to kuch nahi. Wah anjane ke paap swapna mein bhog le lekin jankar jo hamse paap kiye unko phir sharir ka dand bhogna parta hai. Phir shareerik dand se use bhogna parta hai. To anjane mein hamse paap to jo hote hain wah swapna mein sukshm sharir ke dwara bhog liye jaate hain aur jane mein jo paap hote hain wah sthul sharir ko bhogna parta hai.

hamma.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi