॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

aapki Diwali kya sach mein roshni se bhari hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki jitne bhi hamare tyohar hote hain bhagvatik hote hain. Inme koi na koi sambandh hamare bhagwan ki lilaon se hota hai. Jaise yah Diwali hai. Avdh mein bhagwan shri Ramchandra ji to ye utsav manaya gaya. Sampurn Ayodhya deep se prakashit hai. Bhagwan shri Ram 14 varsh vanvas ke baad avdh mein jo hai virajman ho rahe chakravarti samrat pad pe. Ab ise ham gharghar hamen lagta hai pure bharat mein mantri hogi. Sadbhavna to hai hi par hamko yah samjhna padega ki jaise ham Diwali utsav mein juaa aadi khalne lagte hain log nahi khalne lagte ki bhai sal bhar to ham nahi khelte par Diwali ko to khelen kyon bhai kahan likha hua hai ki aap Diwali ko wo aparadh karen jismen kalyug ka vas rahta hai ismen bade-bade dharmatmaon ki bhari bhari vipattiyan ai to jaise Diwali ko zyada to hamen gyan nahi par ganv mein hamne dekha tha ki jo log nahi khelte the wo bhi khelte the aaj ham danv lagaenge par prabhu se pujan karo apne Priya pritam ka ya bhagwat vigrah kisi ka aur baith jao mala lekar ke to yah jo hamara tyohar hai iska antarik bhi swaroop hai hamare andar gyan ka prakash jaise ham ghar mein deepak jlate hain to andhera jaata hai na bahar ke andhere jane se hamare hriday ka andhkar to nahi mitega na to hamen hriday ka bhi andhkar nasht karna hai.

jab bahar ki Diwali itni khushi de sakti hai to agar andar ki Diwali ho jae to kitna anand aa jaega to ham anand sindhu mein doob jaenge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi