॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 10

tu rati-rang bhari dekhiyat hai ri Radhe,
rahsi rami mohan saunv rainn |
gati ati shithil, pragat palte pat,
gaur ang par rajat ain | |
jalaj kapol, lalit latkat lat,
bhrikuti kutila jyo dhanush dhrit main |
sundari rahav kanhav kanchuki kat,
kanak kalash kuch bich nakh dain | |
adhar-bimb-dalamlit arasyut,
aru annad suchat sakhi nain |
(jai shri ) hit Harivansh durat nahin nagri,
nagar madhup mathit sukh sain | | 10 | |
तू रति-रंग भरी देखियत है री राधे,
रहसि रमी मोहन सौंव रैंन।
गति अति शिथिल, प्रगट पलटे पट,
गौर अंग पर राजत ऐन।।
जलज कपोल, ललित लटकत लट,
भृकुटि कुटिल ज्यो धनुष धृत मैन।
सुन्दरि रहव कँहव कंचुकि कत,
कनक कलश कुच बिच नख दैन।।
अधर-बिंब-दलमलित आरसयुत,
अरु आंनद सूचत सखि नैन।
(जै श्री ) हित हरिवंश दुरत नहिं नागरि,
नागर मधुप मथित सुख सैन ।।10।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji , shri Radha ji ko rati vilas ke chinh batte hue unhen us vilas ka anand suchit kara rahe hai. Shri Radha ji shithil chal se gaman karte hue chhupane ki cheshta karti hai parantu shri hit sajni ji unhen adbhut anand chinnon ko ingit kar sukhit karti hai va swayam bhi us sukh se labhanwit hoti hai.

vyakhya: he swamini shri Radha ji ,aap rati-rang se bhari hui dikhayee de rahi hai arthat aapne shri mohan lal ji ke saath ekanta ratri raman kiya hai. Yah aapki atydhik savdhani purn shithil gati va pragat mein dikhayee de rahe aapke badle hue vastr arthat neelambar ki jagah peetambar aapke gaur ang par atyant shobha de raha hai.

aapke kamal rupi kapolon par lalit late latakti hui avismarneey shobha de rahi hai aur aapki bank hoti hui bhrikuti aisi lag rahi hai jaise Kamdev ke dhanush ko dharan kar rakkha ho. He sundari! Kripya thahro aur batao aapki kanchuki kahan hai aur suvarna-kalash ke sadrishya aapke kuchon par nakhrekh dikh rahi hai.

aapke abha mandal wale adhar dal ,malit ho rahe hai aur alasya se bhare ,aapke netr sakhi ,anand ki suchna de rahe hai. Jai jai shrihit Harivansh ji kahte hai –he nagri shri Priya ,yah chhupane par bhi chhup nahi raha ki nagar shri priyatam ne bhavanr ki tarah madhu ka manthan sukh shaiyya par kiya hai. 10.