॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 11

annad aaju nand ke dwaar |
das anannya bhajan-ras karan,
prgate lal manohar gwaar | |
chandan sakal dhenu tan mandit kusum dam ranjit agar |
puran Kumbh bane toran par beech ruchir peepar ki dar | |
yuvti-yooth mili gop virajat,bajat panav mridanga sutar |
(jai shri ) hit Harivansh ajir van veethinu,
dadhi madhi doodh harad ke khaar | | 11 | |
आंनद आजु नंद के द्वार।
दास अनन्य भजन-रस कारन,
प्रगटे लाल मनोहर ग्वार।।
चंदन सकल धेनु तन मंडित कुसुम दाम रंजित आगार।
पूरन कुंभ बने तोरन पर बीच रुचिर पीपर की डार।।
युवति-यूथ मिलि गोप विराजत,बाजत पणव मृदङ्ग सुतार।
(जै श्री ) हित हरिवंश अजिर वन वीथिनु,
दधि मधि दूध हरद के खार ।।11।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji ne nanda nandan ke janm ka karan va janmotsav ras ka varnan kiya hai.

vyakhya: aaj sansaar ka sampurn anand chal kar shri nandaray ji ke darwaze par pahunch gaya hai. Apne anannya daso ke bhajan – ras se prasann ho shri lal ji manohar gwal ke rup mein pragat hue hai. Is janmotsav par ,nandaganv ki sabhi gayo ke sharir par chandan ka lep kiya gaya hai aur ganv ke sabhi mandir -gharo ko foolon ki bandanwar se sajaya gaya hai. Jal se purn bhare kalash aur unke beech me peepal ki dal ko pratyek ghar ke dwaar par sajaya gaya hai.

nandaganv ke log-lugai va gopgan sabhi milkar ikkathe baithe hai aur ve sabhi dhol,mridanga sundar taal ke saath baja rahe hai. Jai jai shrihit Harivansh ji kahte hai — ganv ke angan va galiyon mein haldi mila doodh is bah raha hai ki wahan sabhi gadhe bhar gaye hai. 11.