॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 13

main ju mohan sunyau venu gopal kau |
vyom muni yani sur nari vithkit bhai,
kahat nahi banat kachu bhed yati taal kau | |
sravan kundal chhurit rurat kuntal lalit,
ruchir kasturi-chandan-tilak bhaal kau |
chand gati mand bhai nirakhi chabi kam gayi,
dekhi “Harivansh hit ” vesh nandalal kau | | 13 | |
मैं जु मोहन सुन्यौ वेणु गोपाल कौ।
व्योम मुनि यानि सुर नारि विथकित भई,
कहत नहि बनत कछु भेद यति ताल कौ।।
स्रवन कुंडल छुरित रूरत कुंतल ललित,
रुचिर कस्तूरि-चंदन-तिलक भाल कौ।
चंद गति मंद भई निरखि छबि काम गई,
देखि “हरिवंश हित ” वेष नन्दलाल कौ ।।13।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji ne swayam ka anubhav vyakt karte hue Shri nandanandan ji ka venu (Vanshi) nad prabhav va swaroop varnit kiya hai.

vyakhya: shrihit Harivansh ji kahte hai — maine swayam jo man ka haran kar lene wale shri gopal ji ke venu (Vanshi) ka nad suna hai. Is param adbhut nad ko sunkar akash mein vimanon par chal rahe muni va devtaon ki striyan bhi chakit ho thaki si shithil ho gayi. Yah asambhav hai ki koi us nad ki yati (lay ka vishram) va taal( (sangit ke sanskrit garntho mein taal ke prakaar mane hai– marg aur deshi, bharatmuni ke mat se marg(60) aur deshi(120) taal hai. ))mein bhed kar vivechit kar sake.

shri venu vadak gopal ji ke kano mein kundal jadit hue shobhyanman hai,ludhakte hue kesh manoram ang-cheshta pragat kar rahe hai. Ruchikar sundar kasturi ka tilak unki lalat par sushobhit hai. Jai jai shri hit Harivansh ji kahte hai– shri venuvadak nandalal ka yah rup vesh dekhne ke baad to chandrama ki gati dheemi par hai arthat man sthir ho gaya va kam ki chavi chali gayi arthat kam ka akarshan samapt ho gaya. 13.