॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 15

vrashbhan nandini rajat hai |
surat-rang-ras bhari Bhamini,
sakal nari sir gajat hai | |
it-ut chalat,parat dou pag,
mad gayand gati lajat hain |
adhar nirang rang gandan par,
katak kam kau sajat hai | |
ur par latki rahi lat kari,
kativ kinkini bajat hain |
(jai shri ) “hit Harivansh ” palti pritam pat,
juvti jugti sab chhajat hain | | 15 | |
व्रषभान नन्दिनी राजत है।
सुरत-रंग-रस भरी भामिनी,
सकल नारि सिर गाजत है।।
इत-उत चलत,परत दोऊ पग,
मद गयंद गति लाजत हैं।
अधर निरंग रंग गंडन पर,
कटक काम कौ साजत है।।
उर पर लटकि रही लट कारी,
कटिव किंकिनी बाजत हैं।
(जै श्री ) “हित हरिवंश ” पलटि प्रीतम पट,
जुवति जुगति सब छाजत हैं ।।15।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji ne shri swamini Priya ji ki surat mein dubi hui chavi ka varnan karte hue ras samudra ka varnan kiya hai.

vyakhya: shri vrashbhan ji ki ladili putri prem ras mein sarabor hai. Surat ke rang mein ras se bhari hui yah Bhamini (uttam premamyi sundar nar) sabhi striyon ke upar shobhayaman ho rahi hai. Idhar-udhar chalne mein inke do kadam patal par aise pratit ho rahe hai jaise mand gati ki chal mein madmasta gajendra ko bhi lajit kar rahi ho. Inke adhar ka rang uda hua hai aur kapolo par rang chadha hua hai jisse wah apne Shri priyatam ke hriday mein Kamdev ki sena ko saja kar tayyar kar rahi ho.

unke ur par kale kesho ki lat latak rahi hai aur kamar par kinkini ki jhankar baj rahi hai. Jai jai shrihit Harivansh ji kahte hai–is avastha me odhna shri pritam ji ke odhne se badal gaya hai(atah peetambar odh rakkha hai)parantu in shri sukmari yuvati par to koi bhi yukti ko sabhi shobha deti hai. 15.