॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 16

chalau vrashbhan gop ke dwaar |
janam liyau mohan hit syama,
annad- nidhi sukumar | |
gavat juvti mudit mili mangal uchh madhur dhuni dhar |
vivid kusum komal kislay dal sobhit-bandanbar | |
vidit ved vidhi vihit vipravar kari swastinu uchchar |
mridul mridanga muraj bheri daph divi dundubhi ravkar | |
magadh sut vandi charan jas kahat pukari-pukari |
hatak heer cheer patambar det samhari-samhari | |
chandan sakal dhenu tan mandit chale ju gwaar singari |
(jai shri )”hit Harivansh ” dugdh dadhi chhirkat madhya haridra gari | | 16 | |
चलौ व्रषभान गोप के द्वार।
जनम लियौ मोहन हित स्यामा,
आंनद- निधि सुकुमार।।
गावत जुवति मुदित मिलि मंगल उच्च मधुर धुनि धार।
विविध कुसुम कोमल किसलय दल सोभित-बंदनबार।।
विदित वेद विधि विहित विप्रवर करि स्वस्तिनु उच्चार।
मृदुल मृदङ्ग मुरज भेरी डफ दिवि दुंदुभि रवकार।।
मागध सूत वंदी चारन जस कहत पुकारि-पुकारि।
हाटक हीर चीर पटाम्बर देत सम्हारि-सम्हारि।।
चंदन सकल धेनु तन मंडित चले जु ग्वार सिंगारि।
(जै श्री )”हित हरिवंश ” दुग्ध दधि छिरकत मध्य हरिद्रा गारि ।।16।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji ne shri Radha ji ke janm ka anand ullas ka varnan karte hue shri vrashbhan ji ke ghar par chalkar wahan ho rahe punit karyo ka bhi varnan kiya hai.

vyakhya: shri vrashbhan ji gop ke dwaar par chalo ,jahan anand ki nidhi sukmari shri Radha ji ne shri mohan lal ji ke hit hetu janm liya hai.

waha unke yahan anand mein dubi hui yuvatiyaan mangal gaan uchh va madhur sur mein dhara pravah kar rahi hai. Vibhinn prakaar ke foolon va komal nav patto se bani hui banandabar saji hui hai.

shreshth brahmano ka dal ved vidhi se gyaat hue kram anusaar ashirwad wale mantro ka ucharan kar rahe hai. Mridanga,muraj(pakhavaj) ,bheri (napheri) aur daph bahut ki mridulta ke saath baj rahe hai aur jahan akash mein dundbhi ka shabd ho raha hai.

magadh, sut, bandi aur charan sabhi uchh swar mein pukar-pukar kar yash ka gungan kar rahe hai. Jahan shri vrashbhan ji sabhi ko muhre, hire va reshmi vastr sambhal-sambhal ke pradan kar rahe hai.

jahan par sabhi gwal-bal apni – apni gayo ko chandan ka lep kiye hai. Jai jai shrihit Harivansh ji wahan doodh-dahi mein haldi milakar sabhi logo par chhidk rahe hai. 16.