॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 17

taraui dhyan Radhika pyari govarddhan dhar lalhi |
kanak lata-si kyon na virajat arujhi Shyam tamalhi | |
Gauri gaan su tan taal gahi rijhwat kyon na gupalhi |
yah jovan kanchan tan gwalin safal hot ihi kalhi | |
mere kahe bilamb na kari sakhi bhuri bhag ati bhalhi |
(jai shri )”hit Harivansh” uchit hau chahat Shyam kanth ki malhi | | 17 | |
तरौई ध्यान राधिका प्यारी गोवर्द्धन धर लालहि।
कनक लता-सी क्योँ न विराजत अरुझी श्याम तमालहि।।
गौरी गान सु तान ताल गहि रिझवत क्यों न गुपालहि।
यह जोवन कंचन तन ग्वालिन सफल होत इहि कालहि।।
मेरे कहे बिलंब न करि सखि भूरि भाग अति भालहि।
(जै श्री )”हित हरिवंश” उचित हौ चाहत श्याम कंठ की मालहि।।17।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji shri Radha ji ko shri shyamsundar ji se mil man chhorne ko kah rahe hai.

vyakhya: yadyapi shri lal ji ne govarddhan parvat uthaya ho arthat sansaar ke kasht ka nivaran karte ho parantu unke dhyan mein sada aap hi ho. Aap swarn-lata ke saman aur shri Shyam sundar ji tamal rup mein to donon saath uljh kar ek saath virajman ho jao.

aap Gauri rag ka sumdhur tan va taal ka prayog kar shri gopal ji ko kyon nahi rijhati ho. He gopkumari ! Aapka yah swarnnim tan ko dharan karna va yah jovan rup shri shyamsundar ji se milte hi isi samay me safal ho jayega.

mere kathan anusaar aap deri na kare ,he pranapriy sakhi ! Aapka uchh lalat vipul bhag se yukt hai. Jai jai shri hit Harivansh ji kahte hai–meri chahna to keval itni hai ki aap shri shyamsundar ji ke gale ki mala ban jao. 17.