Shri Hit Sphut Vani — pad 18
aarti Madan- gopal ki keejiyai |
dev rishi vyas shuk das kahat nij,
kyon na binu kasht ras sindhu kau peejiyai | |
agar kari dhoop kunkum malay ranjit,
nav vartika ghrit sau puri rakhon | |
kusum krit mal nandlal ke bhaal par,
tilak kari pragat yas kyon na bhakho | |
bhog prabhu yog bhari thaar dhari Krishna pai,
mudit bhuj dand var chanvar dharau | |
achman pan hit milit karpur jal,
subhag mukh vas, kul tap jarau | |
shankh dundubhi panav ghanta kal venu rav,
jhallari sahit sur sapt nachau | |
manuj tan pai yah daay Brajraj bhaj,
sukhad Harivansh prabhu kyon na yanchau | | 18 | |
आरती मदन- गोपाल की कीजियै।
देव रिषि व्यास शुक दास कहत निज,
क्यों न बिनु कष्ट रस सिंधु कौ पीजियै।।
अगर करि धूप कुंकुम मलय रंजित,
नव वर्तिका घृत सौ पूरि राखों।।
कुसुम कृत माल नँदलाल के भाल पर,
तिलक करि प्रगट यस क्यों न भाखो।।
भोग प्रभु योग भरि थार धरि कृष्ण पै,
मुदित भुज दंड वर चँवर ढारौ।।
आचमन पान हित मिलित कर्पूर जल,
सुभग मुख वास, कुल ताप जारौ।।
शंख दुंदुभि पणव घन्ट कल वेणु रव,
झल्लरी सहित सुर सप्त नाचौ।।
मनुज तन पाइ यह दाय ब्रजराज भज,
सुखद हरिवंश प्रभु क्यों न यांचौ।।18।।
arth / vyakhya
is pad mein Shri hitacharya ji ne shri Madan gopal ji ki aarti ka varnan kiya hai va seva paddati par bhi prakash dala hai aur saath hi shrikrishna ji se prapt sukh ko avichal banane ki kriya kahi hai.
vyakhya: shri Madan-gopal ji ki aarti kijiye kyonki shri devarishi narad ji,shri vedavyasji, Shri shukdev ji aadi sabhi bhakt apni nijta va viswas se is baat ko kahte hai phir bina kasht ko prapt hue ras samudra ko kyon nahi pan karte ho.
aarti ki battiyan agar ki dhoop aur keshar evam chandan se ranjit ghrit mein sani hui honi chahiye. Shri nandalal ji ko foolon ki mala pahna kar unke lalat par tilak sajna chahiye phir unka yashogan kyon nahi chakhte ho.
iske upranta vivid pakwanon se bhar kar thal mein shri Krishna ji ko bhog rakhna chahiye aur phir prasannata ke saath apne hathon se chavanr se hawa karni chahiye.
iske pashat kapur mila hua jal le kar shrikrishna ji ko achman pan karana chahiye aur sundar mukh shudhi ke dravy arvan kar apne sanskar janit papon ko nasht karna chahiye.
shankh,dundbhi,panav, ghanta,venu,jhallari aadi ke dwara sapt sur ko taal purvak bajaate hue nachte kyo nahi.
manav deh prapt kar ke yah dav laga ki kaise shri Brajraj ji ka bhajan hoe ,jai jai shrihit Harivansh ji kahte hai–sukh pradan karne wale shrikrishna ji se avichal sukh ki yachna kyo nahi karta hai. 18.