Shri Hit Sphut Vani — pad 2
Bhanu dasamma, janamma nishapti,
mangal-Buddha shivasthal leeke |
jo guru hony dharamma-bhavanna ke,
tau bhrigunanda sumand naveeke | |
teesrau ketu samet bidhu-gras,
tau Harivansh man kram fike |
govinda chhandi bhramant dasau dis,
tau kari hain kaha navgrah neeke | | 2 | |
भानु दसम्म, जनम्म निशापति,
मंगल-बुद्ध शिवस्थल लीके।
जो गुरु होंय धरम्म-भवन्न के,
तौ भृगुनन्द सुमंद नवीके।।
तीसरौ केतु समेत बिधु-ग्रस,
तौ हरिवंश मन क्रम फीके।
गोविन्द छाँड़ि भ्रमंत दसौ दिस,
तौ करि हैं कहा नवग्रह नीके।।2।।
arth / vyakhya
is pad mein Shri hitacharya ji ne navgrah ki kundali mein achchhi sthiti batte hue, use bhi tuchch bataya hai yadi shri ji ki kripa nahi hai.
vyakhya: surya dasham mein,janm mein nishapti(chandrama),mangal-Buddha shivasthal mein ho. Yadi guru (brahaspati) swayam dharm ke ghar mein ho to bhrigunand (shukra) va Shani nove mein ho.
tisre mein ketu va yatha sthal vidhu-gras (rahu) bhi ho to Shri hitahrivansh ji ke man me yah sabhi achhche se achhche sthal par bhi tuchch hai kyonki yadi shri Radhavallabh lal ji ko chhodkar jeev dasho – dishao mein bhatakta phir raha hai to phir navgrah achhche ho kar bhi kya accha kar sakte hai. 2.