॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 20

rahau koi kahu manhi diye |
mere prannath Shri shyama, sapath karau trin chhiye | |
je avatar kadamb bhajat hai dhari dridh vrat ju hiye |
teu umgi tajat marjada ban bihar ras piye | |
khoye ratan phirat je ghar-ghar kaun kaj aise jiye |
(jai shri) hit Harivansh anat sachu nahi binu ya rajhi liye | | 20 | |
रहौ कोऊ काहू मनहि दिये।
मेरे प्राणनाथ श्रीश्यामा, सपथ करौ तृण छिये।।
जे अवतार कदंब भजत है धरि दृढ़ व्रत जु हिये।
तेऊ उमगि तजत मर्जादा बन बिहार रस पिये।।
खोये रतन फिरत जे घर-घर कौन काज ऐसे जिये।
(जै श्री) हित हरिवंश अनत सचु नाही बिनु या रजहि लिये ।।20।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji ,Shri Radha ji ke sukomal charnon me apni anannya nishtha ka Gosh karte hai. Anek avtaron ke bhajan karne valo se shreshth shri ji ki van vihar arthat Vrindavan leela ko batte hai aur usmen bhi is Vrindavan ki raj ko param sukh prapti ka dwaar batte hai.

vyakhya: koi bhi apna man kisi me bhi lagae parantu main to trin ko sparsh kar shpath ke saath kahta hoon ki mere prannath keval ek Shri shyama ji hi hai. Jo log dridh ya kathin vrat ko lekar anek avtaron ke samuh ka bhajan karte hai ,ve bhi shrihit Vrindavan dhaamm ki prem va ras bhari bihar leela ka pan karte hi umang va utsah ke saath apni maryadaon ka tyag kar dete hai. Ratna ko kho kar phir jo log dwaar-dwaar chakkar lagate rahte hai unke jeevan ka vyarth hona tay hai. Jai jai shrihit Harivansh ji kahte hai ki– shrihit Vrindavan dham ki raj prapti hue bina anya kisi sthan par shanti nahi hai.