॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 21

hari rasna Radha-Radha rat |
ati adhin atur yaddapi piy, kahiyat hai nagar nat | |
sambhram drum, parirambhan kunjan, dhudhant kalindi tat |
bilpat,hansat,visheedat,swedat satu seenchat ansuan vanseevat | |
angrag paridhan basan lagat tate ju pit-pat |
(jai shri) “hit Harivansh ” prasansat shyama dai pyari kanchan ghat | | 21 | |
हरि रसना राधा-राधा रट।
अति अधीन आतुर यद्दपि पिय, कहियत है नागर नट।।
संभ्रम द्रुम, परिरंभन कुंजन, ढूढंत कालिंदी तट।
बिलपत,हंसत,विषीदत,स्वेदत सतु सींचत अंसुअन वंसीवट।।
अंगराग परिधान बसन लागत ताते जु पीत-पट।
(जै श्री) “हित हरिवंश ” प्रसंसत श्यामा दै प्यारी कंचन घट ।।21।।

arth / vyakhya

is pad mein Shri hitacharya ji kahte hai ki shri shyamsundar ji virah mein shri Radha ji ka ratan karte hue hanste rote shri yamuna ji ke kinare bhtak rahe hai. Shri hitacharya ji ne nikunja swaroop mein braj leela ke ulat shri shyamsundar ji ke kshan ke virah ka hi varnan kiya hai.

vyakhya: shri shyamsundar ji ki rasna shri Radha -shri Radha ka hi ratan kar rahi hai. Ve shri Priya ji se milan ko sadaiv adhir va atur bane rahte hai yaddpi ve nagar aur nat kahlate hai.

ve shri Vrindavan ke vraksha ko dekhkar bhrim mein hue ja rahe hai aur wah kunjo ko shri Priya ji samjh aalingan kar rahe hai phir wah Shri yamuna ji ke tat par shri Priya ji ko dhudhte phir rahe hai. Ve shri Priya ji ke virah mein vilap karte hai,nirasha se dukhi hote hai,shramjal yukt (paseene mein) ate hai aur apne ansuo se vansheevat ko seenchte hai.

shri-shyam-sundar ji ko ang bhushan, paridhan va vastr ,virah ki agni mein garam jaan padte hai. Jai jai shrihit Harivansh ji shri Priya ji ki udarta purn prasansa karte hai aur shri-shyam-sundar ko swarn ghat se is virah tap par jal chhidakne ko kahte hai. 21.