Shri Hit Sphut Vani — pad 22
lal ki rup madhuri nainni nirakhi neku sakhi |
mansij man haran-has, sanvro sukumar rasi,
nakhsikh ang-angni umangi saubhag seenv nakhi | |
rangamgi sir surang paag latki rahi vam bhag,
champakli kutila alak beech-bich rakhi |
ayat drig arun lol kundal mandit kapol,
adhar dasan deepti ki chavi kyon hoon na jat lakhi | |
abhyad bhuj dand mul peen ans sanukul,
kanak nikash lasi dukul damini dharkhi |
ur par mandar har mukta lar var sudhar,
matt durad gati tiyni ki deh dasa karkhi | |
mukulit vay nav kishor,vachan rachan chit ke chor,
madhu ritu pik sav noot manjri chakhi | |
(jai shri) natwat “Harivansh “gaan, ragini kalyan tan,
sapt swaran kal,ite par murlika barkhi | | 22 | |
लाल की रूप माधुरी नैननि निरखि नेकु सखी।
मनसिज मन हरन-हास, साँवरो सुकुमार रासि,
नखसिख अंग-अंगनि उमंगि सौभग सींव नखी।।
रँगमगी सिर सुरँग पाग लटकि रही वाम भाग,
चंपकली कुटिल अलक बीच-बिच रखी।
आयत दृग अरुण लोल कुंडल मंडित कपोल,
अधर दसन दीपति की छवि क्यों हूँ न जात लखी।।
अभयद भुज दंड मूल पीन अंस सानुकूल,
कनक निकष लसि दुकूल दामिनी धरखी।
उर पर मंदार हार मुक्ता लर वर सुढार,
मत्त दुरद गति तियनि की देह दसा करखी।।
मुकुलित वय नव किसोर,वचन रचन चित के चोर,
मधु रितु पिक साव नूत मंजरी चखी।।
(जै श्री) नटवत “हरिवंश “गान, रागिनी कल्यान तान,
सप्त स्वरन कल,इते पर मुरलिका बरखी ।।22।।
arth / vyakhya
is pad mein shri hitacharya ji ne shri shyamsundar ji ke ang va swaroop ka adbhut varnan kiya hai.
vyakhya: he sakhi! Shri lal ji ki rup madhuri ko apne netro se thoda dekh to sahi,shri sanvre ji to sukumar ki rashi hai,unki hansi to Kamdev ka bhi man harle,unke nakh se shikha tak ki sundarata to sundarata ki sima ka bhi ullanghhan kar rahi hai.
rang se paripurn sir par lal pagdi unke vam bhag (shri Priya ji) ki or jhuk rahi hai,champa ke phool ki kali unke ghughrale balo ke beech -beech me saji hui hai,unke bade – bade netr atihi arun va chanchal hai,unke kapolo par kundal mandaleey shobha de rahe hai aur unke hoth va danta kanti ki shobha par netr kisi bhi prakaar se ekaagr nahi ho pa rahe hai.
unki bhujaye abhay pradan karti hai ,waise hi pusht kandhe hai,unke tan par peetambar waise hi shobhayaman hai jaise kasauti par swarn rekhae aur us peetambar ki chamak mein bijli ki chamak bhi dab gayi hai. Unke vakshasthal par mandar pushpo ka har hai sathhi sudaul motiyon ki mala hai. Unki mad matt garjaj jaisi chal dekhkar yuvtiyon ko deh dasha ka dhyan nahi rah gaya hai.
unki khil -khilati hui navkishor avastha hai,unki vani chitt ko churane wali hai jaise mano basanta ritu mein aam ki nai manjri ko chakh kar koyal ka bachchha bol raha ho.
jai jai shrihit Harivansh ji kahte hai– sundartam sapt swaron ka aashray lekar ve tane lete hue bhav pradarshn purvak kalyan ragini ka gaan kar rahe hai. Itne par bhi ve Vanshi ke dwara amrit swaron ki varsha kar rahe hai. 22.