Shri Hit Sphut Vani — pad 23
dou jan bheenjat atke batan |
saghan kunj ke dwrae thade ambar lapte gatan | |
Lalita lalit rup ras bheenji bund bachavat patan | |
(jai shri )”hit Harivansh ” paraspat pritam milwat rati ras-ghatan | | 23 | |
दोऊ जन भींजत अटके बातन।
सघन कुंज के द्वारे ठाड़े अम्बर लपटे गातन।।
ललिता ललित रूप रस भींजी बूंद बचावत पातन।।
(जै श्री )”हित हरिवंश ” परस्पर प्रीतम मिलवत रति रस-घातन।।23।।
arth / vyakhya
is pad mein shri hitacharya ji ne varsha ritu mein vihar karte shri shyamashyam ji ke ras rup ka varnan kiya hai ,saath hi shri Lalita ji aadi sakhiyon dwara shri yugal ki ras varsha ka sundar pan va seva bhav bhi darshaya hai.
vyakhya: shri yugal varsha mein bheegte hue apni baton mein vyast hai. Wah donon saghan kunj ke dwaar par khade hue hai aur unke Shri ango se varsha mein bheege vastr lipt rahe hai.
shri Lalita ji va aadi sabhi sakhiya to unke is rup darshan ke sukh ras mein bheeg rahi hai tatha seva ko shirodharya kari yah sakhiya unke upar patto ki chhaya kar bundon ko bchane ka prayas kar rahi hai.
jai jai shri hit Harivansh ji kahte hai– shri yugal to paraspat ek-dusre par shringar keli ke danv pech lagane mein vyast hai.