॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shri Hit Sphut Vani — pad 25

dviti doha

tanhi rakh satsang mai,manhi prem ras bhev |
sukh chahat Harivansh hit ,shri Krishna kalptar sev | | 2 | |
तनहि राख सत्संग मै,मनहि प्रेम रस भेव।
सुख चाहत हरिवंश हित ,श्री कृष्ण कल्पतरु सेव।।2।।

arth / vyakhya

vyakhya: is dhara par ya shri dham Vrindavan mein nivas karte hue sharir ko satsang mein lagana chahiye naki prapanch mein, yah sabhi acharya mahanubhavo ka prayas v anubhav raha hai ki bhatke hue jeev ko ras sindhu ke samip lane ka satsang saral upay hai tatha man shuddh karne ke liye ,pran ke saath man mein “sabhi se prem”ka bhav hona chahiye arthat sabhi ke andar us paramatma ka ansh atma virajman hai,aisa vichar rakhna chahiye. Vyakti bura ho ya accha ,chhota ho ya bada ansh to paramatma ka hai,use man se pranam karna chahiye. Apne se chhote ko bhi aadar dene se koi chhota nahi hota varan man mein anand prakashit hota hai. Man vastut shuddh hota hai.

jab sharir ko satsang aur man ko prem milega to nischay hi shri hit Harivansh ji dwara bataye nikunj marg ka sukh prashasth hoga aur agar yah sukh ki chahat jeev ko hai to shri Krishna kalptar ke saman kripa karne wale hai. (kalptar wah vraksha hai jiske niche khade ho kar jo mango wah turanta prapt hota hai)

atah hame tan ko satsang mein aur man ko prem mein duba kar ye abhyaas karna chahiye. Yah abhyaas to nikunj pravesh ke liye bhi kripa patr bana sakte hai,aisa shri ji ki kripa se atal viswas hai.