Shri Hit Sphut Vani — pad 5
chakai pran ju ghat rahayn,
piy bichhurant nikajja |
sir-antar aru kal-nishi,
taraf tej ghan gajja | |
taraf tej ghan gajja lajja,
tuhi vadan na avai |
jal-vihun kari nainam bhor,
kihin bhaay batavai | |
(jai shri) hit Harivansh vichari,
baad as kaun ju bakai |
saras yah sandeh pran ghat rahe ju chakai | | 5 | |
चकई प्रान जु घट रहैं,
पिय बिछुरंत निकज्ज।
सर-अन्तर अरु काल-निशि,
तरफ तेज घन गज्ज।।
तरफ तेज घन गज्ज लज्ज,
तुहि वदन न आवै।
जल-विहून करि नैनं भोर,
किहिं भाय बतावै।।
(जै श्री) हित हरिवंश विचारि,
बाद अस कौन जु बकई।
सारस यह सन्देह प्राण घट रहै जु चकई ।।5।।
arth / vyakhya
shringar ras do prakaar se jana jaata hai-sanyog aur virah. Kuch log virah ko adhik mahatva dete hue gopiyon ko parkeeya nayika mankar shri Krishna se viyog ka gaan karke sukhit hote hai. Iske viparit kuch log sanyog mein hi shringar ras ki purnata mante hai ,ve gopiyon ko swakeeya nayika mankar unke shrikrishna se milan gaan karte hai. Shri hitacharya ji ne in do kundaliyo mein chakai aur saras ke udaharan se sanyog aur viyog ki apne aap me apurnata siddh ki hai. Hit siddhanta mein Shri radhwallabh lal ji ki nitya sanyukta sthiti mani jati hai,kintu yah donon apne nitya sanyog ka upbhog virah ki sampurn vyakulta evam trisha lekar karte hai atah sanyog va virah ek hi kal me hi anubhav hota rahta hai.
aaj yah un do pado mein se pahla pad hai.
vyakhya: saras ,chakai ke prem ko tuchch mante hue kahta hai– he chakai,apne priyatam se bichhud kar bhi bina kisi arth ke pran sharir me kyon hai? Tere madhya mein sarovar ka antar, kal ki si ratri aur bijli ke saath badlon ki garjan. Yah sab antar sahne ke baad savere ansuo ko ponchhkar tu apne priyatam se milan par kis prakaar ke prem ka pradarshn karti hai?kya yah vihaar lajjaprad nahi hai?. Jai jai shri hit Harivansh ji kahte hai–is sab vichar kar kaun vyarth mein bakwas kare. Nitya sanyogi saras ke man me yah prashn nirantar hai ki virah par bhi chakai ke pran uske sharir me kaise hai?. 5.