Shri Hit Sphut Vani — pad 7
tain bhajan krit jatit Vimal,
chandan krit indhan |
amrit puri tihi madhya karat,
sarshap-khal rindhan | |
adhdut dhar par karat kasht,
kanchan-hal vahat |
bar karat panvar mand,
bovan vish chahat | |
(jai shri ) hit Harivansh vicharikai,
manuj-deh guru-charan gahi |
sakhi tau sab parpanch taji,
Krishna-Krishna-govinda kahi | | 7 | |
तैं भाजन कृत जटित विमल,
चन्दन कृत इन्धन।
अमृत पूरि तिहि मध्य करत,
सर्षप-खल रिन्धन।।
अध्दुत धर पर करत कष्ट,
कंचन-हल वाहत।
बार करत पाँवार मन्द,
बोवन विष चाहत।।
(जै श्री ) हित हरिवंश विचारिकै,
मनुज-देह गुरु-चरण गहि।
सकहि तौ सब परपंच तजि,
कृष्ण-कृष्ण-गोविन्द कहि ।।7।।
arth / vyakhya
is pad mein Shri hitacharya ji ne do udaharan ke saath manushya ki is durlabh deh ka durupyog spasht kiya hai tatha bataya hai ki shri guru ke charnon ka aashray lekar shri ji ka bhajan karo.
vyakhya: tu nirmal ratnnon se jaden bartan ko chandan ki lakdi ke indhan dwara karya karta hai aur usmen puri tarah amrit bhara hai parantu beech me hi tu usme sarso ke tel nikli khali ko raund raha hai. Is adbhut dharti par kasht karke sone ka hal chalata hai aur munge ki baad lagata hai parantu usme mand buddhi vish bona chahta hai. Jai jai shrihit Harivansh ji kahte hai–man me vichar kar durlabh manushya ke sharir mein guru mile hai unke charan pakar aur ho sake to sabhi sansaar ke prapancho ko tyagkar shrikrishna shrikrishna Shri govinda kah. 7.