mitti mein daba bhakt 30 din baad jivit nikla – chamatkari katha | Shri Hit Premanand Ji Maharaj
pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.
pura pravachan
keval Ram ji maharaj bahut hi garib parivaar se the par sant se bhi the. Unke yahan sant mandli ai pawane ke liye kuch swabhavic tha hi nahi. Kai logon ke paas gaye ki hamen udhar de dijiye. Hamare yahan bahut sage rishtedar aae hain. Ham aapko jaldi hi mehnat karke nipta denge jo udhar liya hai. Par kisi ne udhar unko nahi diya. Ek jo seth dhani tha usne dekha ki bahut avashyak inko hai aur yah hamara kam kar sakte hain. To unhone kaha hamen ek kuan khod karke de do. Usse ham jal ki vyvastha apni sinchai aaj ke liye karenge.
jitna aap kahoge bhojan ham de denge. To kaha theek hai ji aap hamare aae hue bhagwat premi mahatmaon ke swagat ke liye vyvastha kar do jo aap seva kahoge ham kahe haan bas hamen kuan khod ke de do khub ghee bura ata sab le gaye achhche se pakwan manaye bhagwan ka bhog lagaya santo ko pavaya ek-do din sant mandli virajman rahi phir wo padhare patni sahit ye donon mahapurush seth ke paas gaye agyaa karo kya yahan kuan khodna hai jagah bata di kuan khodna ek fawda marte Ram patni tasla uthati raj Ram bahut gehre gehre par jal milta tha to kai hath khodne ke baad balu wali mitti ai khudai ab koi dusra sahyog dene wala nahi tha aise rassi mein balti aadi bandhkar niche phenkti usmen raj bhar dete wo naam kirtan karte hue upar ghaseetti aur naam kirtan karte hue niche khojte jab balu ke niche 10 hath khudai ki to jo balu ka pind tha wo kue ka phat gaya aur andar rah gaye upar se mitti gir gayi patni roi chillai log ekatrit hue par unka bhai itna gahra kuan aur niche dab gaye.
upar se kitne hath mitti jam gayi wo to mar gaye honge. Bole ab khodna bekar hai kyonki ab khodne mein bhi to samay lagega. Wo purana samay tha zyada aur garib aadmi the. Koi sahyog dene ke liye patni ko samjha bujhakar seth ne kaha jab koi avshyakta ho bhojan samgri le lena pur diya gaya kuan. Aur wo naam japak mahapurush ek mahine baad wahan se raja ki sawari nikli to awaz aa rahi thi. Ram Ram Ram to bhakt hriday the. Unhone kaha ye awaz kahan se aa rahi? Unke ang parsado ne tatkaal khoj ki awaz ki to bole maharaj ye awaz yahan se aa rahi hai.
turant us nagar ke logon ko bulaya gaya. Haan bole yahi kuan tha isi kuan mein to dab gaye hain keval Ram ji. Puri ghatna bataai. To unhone tatkaal adesh kiya raj sainikon ko tatkaal mitti hatai jae. Ek mahine baad mitti hatai gayi. Jaise jaise wo mitti hat wo to raja hai unke liye koi badi baat thodi hai. Hazaron aadmi lag gaye agyaa par. Jab wo balu ki mitti hati hai to jahan keval Ram ji baithe the wahan gufa bani hui thi. Ek bhi balu ka kan bhi jhaad ke niche nahi gira hua tha aur jab khole gaye to dekha samip nirmal jal ka ghada aur sundar bhog prasad taja unke paas wo aram se naam kirtan kar rahe the par aise hone ki jagah nahi thi ek mahina ho gaye the jhuke jhuke tedhi ho gayi thi thodi merudand unko nikala gaya raja ashcharyachkit hokar unke charnon mein gir gaya ye kaise hua bole mujhe koi kasht nahi tha pratiphal mere bhagwan wahan dular kar rahe the aur bhookh mitane ke liye sundar bhagwat prasad milta
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
Related
- The Life of Shri Vitthalnath Ji | The Terrible Consequences of Causing Suffering to a Great Soul — Shri Vitthalnath Ji was the second son of Shrimad Vallabhacharya Ji. He was born in Vikram 1572 near Kashi in Chunargarh. Shri Acharya Mahaprabhu Vallabhacharya Ji went to Adel…
- yamuna bai ji ka charit aur ek badi seekh — sadhna jaldi siddh ho jae. Apni taraf se kya upay karna chahiye? Bhagwan ka dridh bharosa. Dridh aashray sadhna siddh hone ka upay sab dosho se mukt hone ka upay bhagwan ka dridh bharosa. Ham wahi…
- jab agni bhi na jala saki bhakt ko – holika dahan ki katha | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj — hiranyakashyap itna pareshaan ho gaya ki usko laga ki hamen lagta hai ki meri mrityu isi se hogi. Bahut chintit baithe the. Itne mein unki bahan ji ai. Bahan ji ne agni ko tapasya ke dwara prasann…
- bure ka bhi bhala karna sikhna hai? To yah kahani sunen. — jo tumhare saath bura kare yadi uske saath paropkar karo bhalai karo to aur dabal labh milta hai. Ek aapse virodh kar raha hai. Aap uska bhala soch rahe ho. Bhala bina bhagwan ki kripa ke aisa kaise socha ja…
- do mahan bhakton ki katha. — maharaj ji bhagwan par pura vishwas iska kya tatparya hai? Pura vishwas ho jana. Haan iska tatparya yah hai ki hamen bhari dukh ki samay vipatti ne gher liya. Bhari dukh ka samay aa gaya. Hamen dridh…
- gopal ki maiya ki katha | bhagwan rooth gaye? — bhakt to jo prabhu se apnapan karta hai to prabhu sirf apnapan dekhte hain. Sirf apnapan yahi hamari vijay hai. Yahi hamari vijay hai ki prabhu apnapan ko dekhte hain. Apne jan ke dosh nahi dekhte. Agar…