ekantik vartalaap evam darshan #1420
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Balkrishna Vashisht ji Gokul se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji santo ke naam ke piche amuk das amuk sharan lagta hai ye to samjh aata hai parantu jiske naam ke piche nand laga ho jaise sharnanand sura suranand ji man lo sharnand ji to sharan laga hai na sharan ka anand bhagwan ki sharan guru ki sharan aur man lo keval likha ho sharnanand ji to wo sharanagati ka anand le rahe hain to sharan mein to hai hi na bhagwan ki sharan mein guru ki sharan mein to bina sharan mein hue anand ka anubhav ho hi nahi sakta to sharnand arthat bhagwan
ki sharanagati ka anand lene wale samjh rahe hain na koi bhi sant ho jo naam likha hota hai vaishnav janon mein unmein das aur sharan likha hota hai aur jo sanyasi jan hote hain wah aham grah upasna hoti hai usmen phir sharan aur das nahi lagta hai maharaj ji pehle ke jo naam japi sant hue hain wo apne naam jabki ganna kis prakaar karte the kyonki pehle to counter bhi nahi tha jaise to ganna ki zaroorat kya hai ye to ganna ek niyam diya jaata hai ki jo vishay purush hain sansari jan hai wo apna man laga sake bhagwan mein ki aapko 11 mala japna hai 16 mala japna hai 21 mala koi bhagwan ganna se milte hain kya shwas shwas naam jape duwidha raha na koi agar shwas shwas bhagwan ka naam jap raha hai to bhagwat prapti mein duwidha nahi swas naam shwas do bilak chalat hai inko bhed nam muhn ko bhave shas naam hi swasa naam swas ko bhed mitave rom rom jab rag rag bole tab kach swad naam ko pave jab rom rom ragar rag mein sama jae wo parmatmanubhuti nirantar naam jab mala se karo counter se karo ye man lagane ke liye aur jab
man lag jaata hai to mala counter ki zaroorat nahi hoti wo to jaise tulsidas ji ne nau naukaen bh thi to nauka ka matlab kya hota hai jo nauka ka bolte hain bhajan marg mein kaisi nauka hai jo batte hain aisa ke hamen batao na kaisi nauka hai batte hain ek ek arab naam se ek nauka hoti hai kya hota hai nauka ka matlab haan ham in baton hamari baat yah hai ek bhi shwas ek bhi second antar mein ek bhi vritti bhagwan se vimurkh nahi jani chahiye bhagwan kahte hain gita ji mein jo kahte hain anannya chintyanto mam anya chintan hone hi na pave anannya chint mera anannya chintan ho bas anannya cheta satatam mera anannya abhyaas yog yukt chetsa nagamina chitt aur kahin jae hi na nirantar paramatma mein yahan nauka kamdal dram bharne ki baat nahi hai yahan hriday bharne ki baat hai pura hriday bhagwadakaar ek second bhi anya smriti nahi tab jake ke bhagwat sakshatkar hota hai.
koi anya na chintan hone paye. Har samay bhagwan ka chintan sabse badi baat ye to prambhik hai mala hai counter hai sab prambhik hai jab man ram gaya to phir mala to karm mein phire jibhya phire mukh mae aur manva chau phire so to sumiran na ab mala aur man ghum raha hai vishyon mein sansaar mein bhagwat prapti hath ko karni hai kya man ko karne man vishay man jagdakar durgati bhagwat bhajan paraayan man bhagwadakaar sadgati khas baat samjhni nishane pe tir maro idhrudhur bhatkane se kya man jo vishyon mein laga hua hai wahi vishyakar parinaam durgati man jo bhagwan mein laga hua hai bhagwadakaar parinaam bhagwat prapti sadgati to hamen bhagwan ke prapti karni hai tatv bodh karna hai to khub naam jap karen ganna bhagwan ko de de ki aap gino hamara to kam hai aapka sumiran karna har kshan aapka sumiran karenge jeevan mein ek hi niyam banaya ki mujhe bhagwan ko bhulna nahi hai bas nirantar naam jap karna hai bas usi se sab kuch idhar-udhar bhatke nahi, kisi ko sathi nahi banaya.
kisi ko adarsh usi ko banaya jo bhagwat prapt hai. Sanyaas ke adarsh pujya padu Baba bhakti ke adarsh pujya shri hanuman prasad podar ji prem ke adarsh mahaprabhu Harivansh chandra jo adarsh bado ko rakh ke unke anusaar aacharan karte hue chalo lakshya ko prapt ho jaoge. Vivek ji Radhehe Radhe-Radhe Swami ji Swami ji kaha jaata hai ki aat aur akaal mrityu wale log ko mukti nahi milti aur atma bhatakti rahti hai. Maharaj ji mera prashn hai ki agar aisa hai to parivaar ke log us atma ki shanti aur mukti mile usko uske liye hamen kya karna chahiye?
Shrimad bhagwat ka saptah parayan bhagwan naam kirtan sadhu samaj ko bhoj bhandara aur yah sare punya us jeevtma ko de diye jae to jeevan muktata ki taraf age badhega. Nahi to atma hanan atmhtyaa karne wale ko aur jo mahat paap karne wale jan hain inki adhogati hoti hai. Pret yoni aadi ko yah prapt hote hain. To agar inke liye dharmik krit na kiye jae to pata nahi kitne kalp inko bhatakna padega. Isliye parivaar walon ko chahiye ki dharm granthon ka path rakhwave. Dharm granthon ka gayan karvawe. Sadhu samaj ki seva karen.
bhagwan naam jap karke us jeevtma ko den to uske phal ke rup mein wah phir apne paap se mukt hokar ke agami yoniyon ko prapt ho jaega. To yah karna chahiye. Shrimad bhagwat ka path karana chahiye. Shrimad bhagwat mein mahatum mein aata hai ki ek dhundhkari naam ka aadmi jo tha wo bada papi tha. Kai vaishyaon se sansarg karta tha. Hinsa karta tha, chori karta tha. To ek din wah kahin raj khajane se chori karke laya to vaishyaon ne socha ki agar ham isko marti nahi hai to ek din raj karmchari sab dhan pakar ke le jaenge.
hamko bhi pakar ke le jaenge aur yah mara jaega to mara jana nischit hai. To un panchon vaishyaon ne use bandh diya sote hue aur uske mukh mein aag ke angare rakhe phir bhi nahi mara to gala ghot ke kisi tarah usko mara to wo adhogati ko prapt hokar pret yoni ko prapt hua. Bhaykar pret to unke ek bhai the Gokarn ji. Bada badi katha hai. To Gokarn ji tirth yatra karke aae hue the. Ghar mein shayan kar rahe the to kabhi bheda ban jaata kabhi sinh ban jaata kabhi indra ban jaata to unka viparit dasha ko prapt hua koi dev to hai nahi yah pret hai tab pucha tum kaun ho uski bolne ki samarth nahi thi to unhone Gayatri mantr jap karke jab us par jal chhidka to uske paap thode nasht hue tab wo bola main tumhara bhai dhundhkari hoon paap karne ke karan main pret yoni ko prapt ho gaya hoon.
unhone kaha tumhare liye to maine pinddan kiya hai. Bole usse mera kalyan hone wala nahi. Tab Gokarn ji ne bhagwan surya se pucha to bhagwan surya ne Shrimad bhagwat mahapuran bataya. To sat din mein Shrimad bhagwat ke shravan matra se dhundhkari pret yoni se mukt hokar bhagwan ke parsad swaroop ko prapt hua aur sabke beech mein viman aaya aur baithkar bhagwan ke dham ko gaya. To jo adhogati ko prapt jeev hain unke kalyan ke liye Shrimad bhagwat bhagwan naam kirtan sadhu seva naam jap ye karke usko pradan kiya jae to uska kalyan nischit ho jaega nischit mit rav ji shri Radha shri shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji satsang mein ek bar suna tha ki jo din hai wahi anannya hai jo anannya hai wahi din hai maharaj ji din ka tatparya hota hai ahankaar rahit purush din koi garib ko nahi kahte jo yah dainya shabd hai ahankaar rahit bhakton mein badi dinata dekhi jati hai.
vinamrata dekhi jati hai. Badi shaleenta dekhi jati hai. Gambhirta dekhi jati hai. Wo ahankaar rahit hote hain. Yah ahankaar hi srishti ka mul hai. Jo hamen agyaan mein fansakar deh bhav mein fansakar nana prakaar ke karm karwata hai. Sanskriti mul shul prad nana sakal shokdayak abhimaan ye samasth dukho ko dene wala abhiman jaise main purush hoon main dhanvan hoon main vidvan hoon main kulvan hoon bahut prakaar ka abhiman hota hai ye abhiman hi dukh dene wala hai agar ye abhiman bhagwan ki kripa se nasht ho jae to us sthiti ka naam dainya hai yahi darbar din ko aadar riti sada chali ai dinata koi abhiman saman nahi apne ko sabse chhota samjhna to yah dinata bhagwan ke bhajan se shastr swadhyay se jab gyan prakt hota hai tab aati hai ki sab mein wahi Ram rama hua hai.
kisse abhiman karen? Yahan bhi wahi hai. Sab mein wahi rama hua hai. Isliye wo dainya ho jaata hai. Ahankaar nasht ho jaata hai. Jab ham dusre ko dekhte hain tab ahankaar aata hai. Jab apne isht ko dekhte hain to ahankaar nasht ho jaata hai. To ishtkar vritti bhagwadakaar vritti yah brahmaakar vritti yah bhajan se aati hai. Jitna naam jap karoge utna hi aapke andar shuddh gyan hoga aur jitna shuddh gyan hoga tab utna ahankaar nasht hota chala jaega. Ahankaar nasht hua pura ki aap jeevan mukt ho gaye aur usi ahankaar ki nasht sthiti ka naam dainyta hai.
dainyam dinata jo bhakti mein wah dinata sabke prati priy bhav madhur bhav apne ko sabse tanadap suneeche taror sahna amanna man den kirtan sada hari apne ko sabse tan se bhi nich samjhna aur vriksh ke saman sahnseel hona dusron ko man dena dusron se man na chahna yah bhajan karne walon ke andar dinata hoti tanad suni chen tar sabah man prad aap amani sabko man dete hain lekin agar unko koi pranam ya man dene lage to main yogya nahi hoon aisa unke nahi sabah man prad apmani aise prani jagat ko pavan karne wale hote hain jinke andar yah dinata aa jati hai ki main to kisi yogya nahi adham jeev hoon sab mein mera prabhu virajman hai aur sabse jhuk ke rahna.
yah din bhav bhakton mein dekha gaya hai. Bahut priy bhav bahut madhur bhav sabko sammaan dena apmani rahna. Ahankaar rahit yah bhagvatik gun hai. Dinata bhagwan ko bahut priy yahi darbar din ko aadar riti sada chali ai. Ye din pyare ved pukare drav su bhagna din jisko pyare hain to din banna natak karna nahi. Jaise yah natak ho sakta hai. Jab samne se koi kahe apne ko lage ki haan main aisa hi main aisa hi hoon prabhu aap jaisa karm aur apne ko gussa na aae to samjho ki hamare andar dainyta jagrit ho kyonki ahankaar rahit purush ko phir krodh nahi aata.
krodh tab aata hai jab ahankaar hota hai. Apne mein bal ka avesh hota hai tab aata hai. Ya phir bhagwan prerit karen duston ke vinash ke liye to phir aata hai. To par wo dainya bhakt sadaiv apne swabhav mein dainya hi rahta hai. Ji shubham Sharma ji gwalior se Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya deh tyagna bhi praarabdh ho sakta hai arthat bhagvatik urja se bhul chuk mein prapt ki buddhi evam aham ko bhi nasht karna praarabdh ho sakta hai deh tyag ka matlab aham ko khatm karna nahi aham aham ko khatm karna deh tyag thodi karna hai to aapka kya lakshya hai kahna matra jo a jin chijon ko samjha hai bhagvatik urja se jo nahi samjhna chahiye tha use nasht karna kya samjhna hai aur kya bhagvatik urja se samjha jo nahi samjhna chahiye to bolie aap bataiye jaise kisi siddhi ki prapti ke raste par nikal jana are bhagwan ki bhagwat bhagwat urja se jo sthiti hoti hai wo jagat mangal ke liye hoti hai wo apna mangal aur dusron ka mangal karti hai use nasht karne ki samarth tumhare mein kahan gayi kya ye praarabdh ho sakta hai ki ab jo is sharir mein jo maine chijon ko samjh liya hai.
kya samjha hai mujhe bhi to bataoge. Kripa karke char log aur sunenge ki aapne kya samjha hai. Jaise maharaj ji ki sab kuch leela hai. Ki kuch bhi leela ke pare nahi hai. Haan. Jo main hoon wahi yahan pe hai. To main jab dukh de raha hoon ya mujhe dukh mil raha hai. To nahi dukh mil kisko raha hai? Jab itni unchi baat kah rahe to dukh ki sangya kisko hai? Atma to nain chhinti shastraan nain dati pavka na chenam klapo na shoshti maruta agnastra mein samarth nahi ki jala sake vayustra mein samarth nahi ki uda sake varunastra mein samarth nahi ki use bhigo sake to dukh kaise sparsh kar sakta hai dukh hai kya bhram kisko kisi ko dukh nahi hai dukh bhramtmk purush ko hota hai jab yah gyan ho gaya ki jo main hoon wahi tum ho aur wahi sara jagat hai to phir dukh kahan hai vichar karke dekho kahan dukh hai.
aap kahte ho main us vichar ko nasht kar du. Kisko? Kaun si sthiti hai? Lekin uske raste mein jaise aap batte hain ki jab bhagavtik bhagwat prapti ke raste par jab chalte hain to sansaar ke jab ye anubhav suno ab abhi tum bachchha ho. Jab yah anubhav ho jaega ki jo main hoon wahi tum ho wahi sara jagat hai. Jad chaitanya sab kuch bhagwat swaroop hai. Ab rasta kahan rah gaya? Wo to pahuncha hua purush hai. Phir uske baad agar koi agar lekin lagta hai wapas aae. Dekho lekin lagta hai to bachchha keval tum buddhi se baat kar rahe ho.
sthiti pai bhar ki nahi hai. Sthiti ke antargat jab baat aati hai tab yah nahi hota hai. Abhi us sthiti ko prapt karne ki cheshta ki jae to bhi baat ki jae. Us sthiti ko prapt karne ki cheshta karna chahte ho kya? Tum to nasht karne ki baat karte ho. Waise naam jap karo. Bhagwan ka naam jap karo aur gandi baton se bacho. Hamari prarthna gande aacharan jo hote hain unka tyag karo aur bhagwan ka naam jap karo sab theek ho jaega sab theek ho jaega naam jap mein bahut samarth hai naam jap mein jo baith gaya wo sab jit gaya ji koi aisa praarabdh ho sakta hai jo naam jap se aur dhyan se na kate to uske liye kuch aur chijon ki jati aisa praarabdh nahi hota koi bhi itna naam jap kar jae har praarabdh nasht ho jaega har praarabdh nasht ho jaega jaise ham tumhare samne baithe hain.
hamari donon kidney phayl hai. Thodi der baad abhi dialysis mein jaenge. Praarabdh hai. Ham nasht karna nahi chahte. Ham use bhogna chahte hain. Apne bhajan se bhagwan ki prapti karna chahte hain. Hamen prabhu ke vidhan ko dekhna hai. Hamen apne jap tap ke dwara prabhu ke vidhan ko thodi badlna hai. Usi vidhan ko yadi accha labh santushto jaisi paristhiti bhagwan de rahe hain. Usmen main santusht hoon. Kan so kachu na chaho na bhagwan se na kisi jeev se shant ekdam se aur jo badhae aati hain wo bhajan ke dwara itna gyan hota hai ki unka nivaran bhi hota hai jo badhaaon mein fansa kaun hai agyani agar bhajan karoge to itna gyan aayega pehle bhajan to karo dat ke to apne aap tumhare andar shuddh gyan aa jaega ye tark vitark shant ho jaega aur theek rasta apne aap prakashit ho jaega naam bahut badi samarth hai bachchha naam mein bhagwan ko adhin karne ki samarth hai.
sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhe Ramu bhagwan ko bhi adhin kar le. Aise naam mein jap mein mahima hai. To praarabdh kya chij hai? Praarabdh purv ka kiya hua paap karm ya punya karm praarabdh wahi banta hai akar. Praarabdh koi devta thodi hamara kiya hua piche ka karm hi praarabdh banta hai akar ke. To agar ham naveen karm bhajan dat ke karenge to praarabdh ko parast kar denge piche wale ko. Ab ye hai ki piche wala hai 500 gram aur aapka bhajan hai 50 gram to kuch hone wala nahi. Aapka bhajan jab 500 se upar chale tab wo dabega jakar ke to praarabdh ke anusaar jab bhajan us koti ka ho to praarabdh nasht ho jae.
apne logon ko bhajan chun punya hai aur praarabdh pahar ki tarah wo dabae dal raha hai. To mala chalate hue bhi usko kasht ho raha hai. Wo chinta ho rahi hai. Usko shok ho raha hai. Kyonki praarabdh bahut prabal hai. Tabhi to kahte bahut hosh mein rahna chahiye. Ham anjane mein bahut se paap kar lete hain. Are jo murga murgi machhli bakra bakri yah sab kha rahe hain yah paap nahi hai kya us jeev ke hit ab wah jab aayega tab aap sudhar chuke hoge mana aap sudhar gaye ki hamne sab chhod diya lekin piche jo kiya hai wo piche thodi chhodega wo aapko girane ki koshish karega to ab dat ke bhajan karo to wo tumhen nahi gira payega bhajan ke dwara ye sab baat banegi bachchha bhajan nahi to kuch nahi ye gyan vigyan maya ke age kam nahi karta shiv viranchika moh kohe ba puran as ja bhuji mayapati bhagwan Ram Ram Ram Radha Radha Krishna Krishna hari hari jo naam priy ho khub naam jap karo isi se mangal ho jaega isi se dimaag bhi theek ho jaega aur rasta bhi aapko dikhayee dene lagega theek hai brahmachari vigyan chaitanya Ramkrishna Mishr maharaj ji jab bhagwan ke darshan hote hain tab inheen ankhon se hote hain ya bhagwat kripa karke divya drishti dete hain.
jaise Krishna ji ne arjun ji ko diye. Gyan ka atma swaroop ka sakshatkar karne ke liye jaise buddhi mein netr hote hain aise bhagwat sakshatkar karne ke liye manas netr hote hain. Ur ke nain nihar jab hriday mein prem netr khulte hain tab bhagwat sakshatkar hota hai. Aur jab bhagwat sakshatkar hota hai to wo netr inheen mein khulte hain. Dekh to inheen se pate hain na. To manas netron se hriday mein darshan hue aur jab bahar netr khule to jidhar hamari drishti jati hai udhar bhagwan hi bhagwan nazar ate hain.
Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jor jug pani sab mein apna bhagwan hi nazar aata hai. Jab hriday ke netr khul jaate hain na to ye maya ka parda hat jaata hai. Tab keval bhagwan hi bhagwan sab kuch bane hue hain. Jaise ham kangan ya har yah naam kah rahe hain. Lekin tatv se janne pe har aur kangan donon mein sona ek hi hai. Aise hi jad aur chaitanya kahne mein do hain. Lekin tatv se jab dekhenge to ek hi paramatma jad bana hua hai. Ek hi paramatma chaitanya bana hua hai. Wahi paramatma sabke hriday mein vihar kar raha hai.
sab kuch bana hua. Sab kuch bankar ke uska palan karta hua aur sabka sanhaar karta hua wah asang rahta hai. Sabse pare aur sab mein bhare. Sabse pare aur sab mein bhare. Yah siddhant jo samjh gaya wahi sacha bhakt hai. Wahi sacha gyani hai. Wah sabse pare bhi hai aur sab mein bhare bhi hai. Vasna vasudevasya vasitam bhatram sarvabhut nivasoshma Vasudev namostute samasth bhauton mein wahi virajman hai. Lekin jo bhut hai wo bhi wahi bana hua hai. Wo nirvikaar hote hue bhi vikar ki leela dikhayee de rahi hai. To is vikar mein jo nirvikaar paramatma ko khoj leta hai wahi gyani hai wahi bhakt hai.
gaurav kumar ji patna bihar se Radhehe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji eesta mein purn sharanagati aur sabhi asaktiyon kaise samaahit ki bhajan naam jap jitna adhik naam jap hoga utna hi sansaar se vairagya swaroop ka bodh aur bhagwan se prem hoga jaise ek ek kaval bhojan pane par tashti pushti aur sudha nivitti hoti hai. Aise hi ek-ek naam jitna adhik japte jaoge to sansaar se vairagya swaroop ka gyan aur bhagwan se prem swatah hota chala jaega. Bas naam jap karna kaise ban karke hai yah baat dekhni hai. Ab manmani gande aacharan bhi karte raho mala bhi ghumate raho to usse kuch nahi.
indriyon par vijay prapt karke shant gambhir jaisi bhi paristhiti hai usmen raji man sammaan ninda sthiti ismen saman bhav aur andar ki chetna se kisi se bhi dves nahi kisi se bhi hamara nafrat nahi ghrna nahi aur khub naam jap karo abhi sthiti aa jaegi par ji guru nishtha aur agyaa palan ka samarth kaise prapt hota hai bhagwan ki kripa se bhagwan se prarthna na karo ki hamen guru charnon mein nishtha de aur wah hamen wah samarth de wah bal de jisse ham guru agyaa ka palan kar sake. Bhagwan ki prarthna ki jae.
bhagwan se vinay ki jae to bhagwat bal ke dwara guru agyaa ka palan hota hai. Bhagwat bal ke dwara guru nishtha hoti hai. Nishtha wo hoti hai kaat diya jae phir bhi apni nishtha ko na chode. Bade-bade mahapurushon ke jeevan mein nishtha ki jab baat ai hai to dekho kitna kasht diya gaya. Guru arjun dev ji ko kitna kasht diya gaya. Unko tapt tave mein baithalkar upar se tapt baluka dali gayi. Par waheguru waheguru waheguru tera kiya mitha lage kabhi nishtha se vichlit to mahapurushon ki nishtha hoti hai to jo guru nishtha wahi dharm nishtha wahi isht nishtha wahi rashtr nishtha nishtha nishtha hai jahan nishtha jagrit ho gayi guru Govind sinh ke donon putro ko diwal mein chunaya ja raha hai na wo na guru Govind sinh vichlit nahi hue bhala jinke ladlon ko chunwaya ja raha ho unki halat kya hogi lekin nahi nishtha sari kartavya parayanta apne putr parivaar ke liye hi to hoti hai apne jeevan ke liye hoti hai jahan nishtha ka shabd aata hai wahan jeevan nasht kar diya jae parivaar nasht kar diya jae par wo nishtha ko nasht nahi hone dete yah nishtha bhagwan se prapt hoti hai bhagwan se prarthna karen wah hamen guru nish isht nishta baname aur ham unki agyaa ka palan kar pave.
abhinay tyagi ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jaise aap kahte hain ki guru prakt rup mein hona chahiye. Sadharan naam lene mein aur guru pradatt naam lene mein fark hota hai. Maharaj ji aapke shri mukh se suna hai ki jaise ki ek hamari samne se guru ki drishti padna aur ek sun ke padhna. To maharaj ji jo vyakti aapke ana aapke samne sambhav nahi hai usko aapne guru rup mein sweekar kar liya hai to us aap kaise shishya ya wo kaise agyaa palan karna hi guru ko sweekar karna hai jo satsang suna ja raha hai yadi uska ham aacharan karen to hamare andar guru bhakti sudridh ho jaegi lekin ham bina darshan ke bina mile bina sang ke ham kaise us unnati ko prapt ho sakte hain.
ek bar hamen guru charnon mein samarpit hona chahiye. Ek bar hamen guru sang karna chahiye. Bina sang bhajan na ho sang bin aur bhajan bina nahi prem chhinhu bhajan na chhadie dharie ya dhruv nem aise baat nahi banti. Guide ko saath le chala jaata hai. Agar aapko yahan kahin Vrindavan mein darshan karne hain to guide karna hoga aur guide karne wale ko saath le aur uski agyaa ke anusaar chalna hoga. Yah gali nahi idhar se chalie. Idhar se chali hai. Aise hi guru ka sang tab jakar ke chadta hai prem ka rang. Ab keval man liya aapne aur guru ki nahi mani to guru ke manne se baat nahi chalegi.
guru ki manne se chalegi. Guru ki vani mano bas phir baat ban jaegi. To guru ka darshan, guru ka sang aur guru ki agyaa ka palan yahi bhagwat prapti karate hain. To bina prakt guru ke kaise baat ban sakti hai? Hamen dantega kaun? Hamara nireekshan parikshan kaun karega? Gurudev. To hamen guru ka sang atyant avashyak hai. Pragat mein pragat mein bina guru ke rang nahi chadta. Chahe karke dekh lo, koi karke dekh lo. Maharaj ji jaise aapke hazaron shishya hain maharaj ji to pragat mein maharaj ji har ek ko aapka sang to haan to pragat mein darshan karna.
ham kahte hain mahine do mahine char mahine mein aao. Iske baad mobile se satsang sunte raho. Agyaa ka palan karo. Connection banae rakho. Agar connection banae na rakhe to keval manne matra se thodi baat ho jae. Andar jo jalan hoti hai maharaj ji wo bhi dant hi hoti hai. Ek aur kya Gurudev ka agar aap purn rup se anushasan sweekar karenge to thodi bhi galti aapke hriday ko jalaegi. Aapka sudhar karegi. Aapko galtyon se bacha karke sataarg mein chalaegi. To guru ka sanidhy to atyant avashyak hai. Guru ke darbar mein jana, mattha tekna, unke charnon mein baithna, unki charan raj lagana isi se to hamen samarth aayegi unki agyaa ka palan karne ki.
agar ham unka sang na karen to manmani acharno hawa itni gandi chal rahi maya ki ki aap dekho idhar se niklo bahar dekho uska kya rang chadta hai ab yahan akar baithe ho to yahan ka kya rang chadta hai aap dekho yahan kaisa aapko anubhav ho raha hai aur bahar kaisa anubhav ho raha hai to mobile bhi charge karna parta hai nahi charge karna parta to aise mahina do mahina mein apne ko charge karte raho kiska prashn hai haan Gurudev ke darshan karna isse ham charge hote hamare andar power aata hai. Aisa thodi mobile se aur pragat se antar hai.
mobile se power thodi aayega. Mobile se to jo tum pakar pao so pakar pao. Aur yahan tumko pakdaya jaega. Yahan tumhare andar power jaega. Darshan, sparsh, sambhshan wo paramanu prapt hote hain. Isliye prakt mein guru ke sanidhy ki vishesh avshyakta hai. Anshul tyagi ji Radha Radha Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera sawal hai ki kai bar insaan ki zindagi mein achanak bahut sari jimmedariyan aa jati hain jiske chalte sab bhulkar bas paisa kamana parivaar chalane mein lag jaata hai. Aise mein ab us vyakti ko kaise bhagwat prapti hogi aur kaise wo is marg pe age badh sakta hai?
parivaar ke sadasyon ko bhagwan ka swaroop samjho. Usmen bhagwan hai na bina bhagwan ke koi ek kadam bhi nahi chal sakta. Bhagwan power hai. Jaise aapke andar hai na to aapka jo dhancha hai yah yah aap nahi hai. Manushya sharir rupi dhancha aap nahi hai. Ismen paramatma ka power jo hai wahi chalan philan dalan halan agar wah na ho to iska bada anadar kiya jaata hai. Sharir ko gad diya jaata hai. Phenk diya jaata hai. Jala diya jaata hai. Nahi kar diya jaata. To parivaar mein jo hamari patni hai, jo hamare putr hain, jo hamari beti hai, jo hamare parivaar ke jan hain, wah hamare bhagwan unmein virajman hai.
nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari aur unki seva ke liye jaise ham mandir mein bhagwan ki seva karte hain. Aise tum patni mein, putr mein, mata-pita mein, beti mein, parivaar mein bhagwan ki bhavna karo aur khub mehnat se dhan kamane ki cheshta karo. Praarabdh ke anusaar dhan aata hai. Apni cheshta ke anusaar nahi aata. Koi bahut mehnat karte hain. Bahut thoda labh hota hai. Koi koi bahut kam mehnat karte hain. Bahut labh hota hai. Koi bahut kam dimaag ke hote hain lekin karodon par khelte hain.
koi bahut dimaag wale hote hain lekin khane ko bhi nahi hota. Ismen purv ka praarabdh kam karta hai. To naam jap to kar sakte hain na. Radha Radha ratte hue andar Radha Radha japte hue ham koi bhi karya karen aur jo karya karen wah bhagwan ko samarpit kar den aur jinke liye karya kar rahe hain wah sab bhagwan ke hi swaroop hain. Aisa mane to grahasti mein rahte hue bhagwat prapti ho jae. Hai kathin hai na? Sabko bhagwan manna kathin hai nahi aur bhagwan hai. Manna kya hai? Sab mein bhagwan hai. Power to wahi hai.
unke bina koi ek ek kadam nahi chal sakta. Ek palak nahi jhapak sakti. Wahi to virajman hai. Dekho nachte nachte log mar jaate hain. Bhagwan antardhya ho gaye to dhanang gaya sharir. Abhi nach raha tha abhi dhanang gaya. To hamen vichar karna hai ki sab mein bhagwan virajman hai. Mere parivaar ke rup mein mere bhagwan hai aur main bhagwan ke liye dhan kama raha hoon. Aur jo dhan kama rahe hain us samay kriya karte samay Radha Radha beech mein smaran karte jao. To apni karm ko karte hue jo naam smaran karta hai aur karm ko bhagwan ko samarpit kar deta hai wo bhagwan ko hi prapt hota hai.
itna to karna padega aur burai chhodni padegi. Parai mata bahno ki taraf gandi drishti sharab pina mans khana juaa khelnaa hinsa karna vybhchar yah sab chodna hoga. Tab bhai bhagwat prapti karne ke liye to ye chodna hoga na. Gandi baton ko chhod do. Bhagwan ka naam japte hue karm karo aur parivaar mein shri bhagwan ko dekho mukt ho jaoge. Betiyan hai maharaj ji do sal ki usko Radha aapko dikha dikha ke Radha jap karti hai. Haan haan to hamari baat samjh mein aa gayi na? Raman popli ji gwalior se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya bhajan sunna aur gunguna bhi naam jap ke antargat aata hai?
haan aayega aayega. Aur phal barabar milega. Haan agar wah bhagwan naam se yukt bhajan hai. Bhagwan naam se yukt ab idhrudhur ki baten to nahi hai. Jismen bhagwan ki mahima hai aur bhagwan ke naam jap hai. Agar wah gunguna rahe to bhagwan naam kirtan hi mana jaega. Kirtan aur jap ka ek hi phal hota hai. Bhai gaadi chalate mein ya baith mein kam karte usko ham sunte rahte hain. Gugna bilkul haan bilkul theek hi hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…